mubaarak ho ki mafhuum-e-karam samjhaa gayaa sehraa

Anwar Farrukhabadi
MORE BYAnwar Farrukhabadi
mubaarak ho ki mafhuum-e-karam samjhaa gayaa sehraa
misaal-e-abr-e-rahmat zindagii par chhaa gayaa sehraa
har ik mehmaan kaa dil jhuum uTThaa chaahat kii KHushbuu se
fazaa-e-anjuman ko is tarah mahkaa gayaa sehraa
mubaarak tujh ko e duulhaa dulhan vaalo.n kii KHushnuudii
tirii ḳhātir KHushii kaa nuur le kar aa gayaa sehraa
KHudaa rakkhe bahut hii KHush hai.n maa.n baap aur bahan bhaa.ii
mubaarak ho 'aziizo.n ke dilo.n ko bhaa gayaa sehraa
rah-e-ulfat me.n do dil jaise paimaan-e-vafaa baa.ndhe.n
sar-e-nau-shaah par is pyaar se baa.ndhaa gayaa sehraa
bahan bahno.ii bhaa.ii bhaabii sab mahv-e-nazaara hai.n
maqaam-e-shukr hai sab kii nazar me.n aa gayaa sehraa
phuphii bhii KHush phupha bhii KHush hai.n KHush hai.n KHaala KHaaluu bhii
mamaanii aur maamuu.n ke bhii dil ko bhaa gayaa sehraa
damaktaa hai KHushii ke nuur se nau-shaah kaa chehraa
vo dekho chehra-e-nau-shaah se sharmaa gayaa sehraa
balaa.e.n lii.n jo nausha kii chachii ne aur ammaa.n ne
to chaahat kii mahak se bazm ko mahkaa gayaa sehraa
rahe.nge 'umr-bhar aapas me.n duulhaa aur dulhan muKHlis
ki pa.Dh kar qul-hu-vallahu-ahad guu.ndhaa gayaa sehraa
du'aa.e.n kyuu.n na de.n duulhaa ko rishta-daar dulhan ke
ki taqdiir-e-'aruus-e-KHushnumaa chamkaa gayaa sehraa
'aziiz-o-aqribaa baaraatii aur ahl-e-mohalla ko
KHudaa ke fazl-o-rahmat se bahut hii bhaa gayaa sehraa
mubaarakbaad sab ahbaab de.n nau-shaah ko 'anvar'
ye us kaa pyaar hai jo pyaar se likkhaa gayaa sehraa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.