jahaa.n tak hai nazar jis kii vahaa.n tak jalva-gar sehraa

Shah Masood-ul-Hassan
MORE BYShah Masood-ul-Hassan
Interesting Fact
سہرا بموقعۂ تقریبِ نکاح خواجہ شاہ شاہد حسین نقشبندی (سجادہ نشیں : بارگاہ حضرت عشق، تکیہ شریف، پٹنہ) سالِ نکاح : 1362ہجری
jahaa.n tak hai nazar jis kii vahaa.n tak jalva-gar sehraa
hai apne husn kii vus'at me.n taa-hadd-e-nazar sehraa
qariib-e-zulf sone kii kiran hai rahnumaa dil kii
savaad-e-shaam me.n hai jalva-e-nuur-e-sahar sehraa
usii husn-e-adab ne sarfaraazii us ko baKHshii hai
tumhaarii paa-e-poshii ko jhukaa hai kis qadar sehraa
faroG-e-husn dekhaa husn kaa e.ajaaz bhii dekhaa
chipak jaatii hai.n aa.nkhe.n dil me.n aataa hai nazar sehraa
mubaarak ho shah-e-shaahid hasiin-e-baa-jafaa tum ko
ye shaadii jashn-e-Gaazii taKHt-e-shaadii taaj-e-sar sehraa
ye hai 'maqsuud'-e-saal-e-tahniyat kaa misra.a raushan
savaad-e-shaam me.n hai aamad-e-nuur-e-sahar sehraa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.