Ashaar of Aarzu Lakhnavi
uthar tere aañsū idhar mere aañsū
vo laa.e hu۔e haiñ yā aaye hu۔e haiñ
uthar tere aansu idhar mere aansu
wo lae hu۔e hain ya aaye hu۔e hain
jo kuchh bhī ḳhushī se hotā hai ye dil kā bojh na ban jaa.e
paimān-e-vafā bhī rahne do sab jhutī bāteñ hotī haiñ
jo kuchh bhi KHushi se hota hai ye dil ka bojh na ban jae
paiman-e-wafa bhi rahne do sab jhuti baaten hoti hain
hañsne meñ jo aañsū aate haiñ nairang-e-jahāñ batlāte haiñ
har-roz janāze jaate haiñ har-roz brāteñ hotī haiñ
hansne mein jo aansu aate hain nairang-e-jahan batlate hain
har-roz janaze jate hain har-roz braaten hoti hain
qismat jaage to ham so.en qismat so.e to ham jāgeñ
donoñ hī ko niiñd aa.e jis meñ kab aisī rāteñ hotī haiñ
qismat jage to hum soen qismat soe to hum jagen
donon hi ko nind aae jis mein kab aisi raaten hoti hain
āshob-e-judā.ī kyā kahiye anhonī bāteñ hotī haiñ
āñkhoñ meñ añdherā chhātā hai jab ujyālī rāteñ hotī haiñ
āshob-e-judāī kyā kahiye anhonī bāteñ hotī haiñ
āñkhoñ meñ añdherā chhātā hai jab ujyālī rāteñ hotī haiñ
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere