Font by Mehr Nastaliq Web
noImage

Banke Lal

Ashaar of Banke Lal

kuchh to kar ḳhauf-e-ḳhudā dil meñ ai zālim apne

dil-e-'ushshāq ko is tarah se barbād na kar

kuchh to kar KHauf-e-KHuda dil mein ai zalim apne

dil-e-'ushshaq ko is tarah se barbaad na kar

hañsī kahāñ mazāq kahāñ dil-lagī kahāñ

vo josh-e-irtibāt kahāñ vo ḳhushī kahāñ

hansi kahan mazaq kahan dil-lagi kahan

wo josh-e-irtibaat kahan wo KHushi kahan

āh-o-fuġhāñ hai shor hai naala hai dard hai

ġham hai alam hai yaas hai lab par hañsī kahāñ

aah-o-fughan hai shor hai nala hai dard hai

gham hai alam hai yas hai lab par hansi kahan

hai maqtal meñ qātil ke ik vaar kā

kaleja huā sar huā dil judā

hai maqtal mein qatil ke ek war ka

kaleja hua sar hua dil juda

ġham-o-hasrat-o-dard rañj-o-ta'ab

mohabbat meñ terī ye hāsil huā

gham-o-hasrat-o-dard ranj-o-ta'ab

mohabbat mein teri ye hasil hua

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Recitation

Speak Now