Dohe of Daya Bai
bando shrī sukdev jī sab bidhi kaaro sahāy
haro sakal jag aapdā prem-sudhā ras pyaay
bando shri sukdew ji sab bidhi karo sahay
haro sakal jag aapda prem-sudha ras pyay
dayā daan aru dīntā dīnā-nāth dayāl
hirdai sītal drishTi sam nirkhat karin nihāl
daya dan aru dinta dina-nath dayal
hirdai sital drishTi sam nirkhat karin nihaal
girdhar govind gopdhar garuḌadhvaj gopāl
gobardhan shrīgadādhar gaj-tāran grah-sāl
girdhar gowind gopdhar garuDadhwaj gopal
gobardhan shrigadadhar gaj-taran grah-sal
chit chātrk raTnā lagī savāñtī buuñd kī aas
dayā-sidh bhagvān jū pujvau ab kī aas
chit chatrk raTna lagi sawanti bund ki aas
daya-sidh bhagwan ju pujwau ab ki aas
'dayākuñvar' yā jakt meñ nahīñ aapno koy
svārth-bañdhī jiiv hai raam naam chit joy
'dayakunwar' ya jakt mein nahin aapno koy
swarth-bandhi jiw hai ram nam chit joy
siis navai tau tumhiñ kuuñ tumhiñ suñ bhākhūñ diin
jo jhagrauñ tau tumhiñ suuñ tum charnan ādhīn
sis nawai tau tumhin kun tumhin sun bhakhun din
jo jhagraun tau tumhin sun tum charnan aadhin
tum Thākur trailok-pati ye Thag bas kari dehu
'dayādās' ādhīn kī ye bintī suni lehu
tum Thakur trailok-pati ye Thag bas kari dehu
'dayaadas' aadhin ki ye binti suni lehu
chhāñḌo bishai bikār kuuñ raam naam chit laav
'dayākuñvar' yā jagat meñ aiso kaal batāv
chhanDo bishai bikar kun ram nam chit law
'dayakunwar' ya jagat mein aiso kal bataw
kaahū bal ap deh ko kaahū rājhi maan
mohiñ bharoso terhī dīnbandhu bhagvān
kahu bal ap deh ko kahu rajhi man
mohin bharoso terhi dinbandhu bhagwan
dhuup harai chhāyā karai bhojan ko phal det
sarnāye kī karat hai sab kaahū par het
dhup harai chhaya karai bhojan ko phal det
sarnaye ki karat hai sab kahu par het
kalap bracchh ke nikaT hiiñ sakal kalpanā jaay
'dayādās' tāteñ la.ī saran tihārī aay
kalap bracchh ke nikaT hin sakal kalpana jay
'dayaadas' taten lai saran tihaari aay
'dayā' supn sansār meñ nā pachi mariye biir
bahutak din biite brthā ba bhajiye raghubīr
'daya' supn sansar mein na pachi mariye bir
bahutak din bite brtha ba bhajiye raghubir
sītāpati samaratth jū sāhab sāligrām
ses saaiñ sahjahi sabal sindh-mathan shrī shyām
sitapati samaratth ju sahab saligram
ses sain sahjahi sabal sindh-mathan shri shyam
rāvan kumbhkaran gaye durjodhan balvant
maar liye sab kaal ne aise 'dayā' kahañt
rawan kumbhkaran gaye durjodhan balwant
mar liye sab kal ne aise 'daya' kahant
ajar amar abigat amit anubhay alakh abhev
abināsī ānandamay abhai so ānand dev
ajar amar abigat amit anubhay alakh abhew
abinasi aanandamay abhai so aanand dew
tiin lok nau khanD ke liye jiiv sab her
'dayā' kaal parchanD hai mārai sab kuuñ gher
tin lok nau khanD ke liye jiw sab her
'daya' kal parchanD hai marai sab kun gher
barham brahm bāsudev bisvrūp balbīr
bayās bodh bādhāharan byāpak sakal sarīr
barham brahm basudew biswrup balbir
bayas bodh baadhaharan byapak sakal sarir
nar dehī dīn.hīñ jabai kīnho koTi karār
bhakti qabūlī aadi meñ jab meñ bhayo labār
nar dehi dinhin jabai kinho koTi karar
bhakti qabuli aadi mein jab mein bhayo labar
baḌe baḌe paapī adham tārat lagī na baar
pūñjī lagai kachhu nand kī he parbhū hamrī baar
baDe baDe papi adham tarat lagi na bar
punji lagai kachhu nand ki he parbhu hamri bar
terī dis aasā lagī bharmat phirauñ sab diip
savāñtī milai sanāth ho jaise chātrk siip
teri dis aasa lagi bharmat phiraun sab dip
sawanti milai sanath ho jaise chatrk sip
hauñ pāñvar tum hau parbhū adham-udhāran iis
'dayādās' par dayā ho dayāsindhu jagdīs
haun panwar tum hau parbhu adham-udhaaran is
'dayaadas' par daya ho dayasindhu jagdis
chaka.ī kal meñ hot hai bhaan uday ānand
'dayādās' ke durgan teñ pal na Taro braj-chañd
chakai kal mein hot hai bhan uday aanand
'dayaadas' ke durgan ten pal na Taro braj-chand
kāyer kañpai dekh kari sādhū ko sañgrām
siis utārai bhuiñ dharai jab pāvai nij Thaam
kayer kanpai dekh kari sadhu ko sangram
sis utarai bhuin dharai jab pawai nij Tham
tan mad dhan mad raaj mad ant kaal miT jaay
jin ke mad tero parbhū tehiñ jam kaal Derāy
tan mad dhan mad raj mad ant kal miT jay
jin ke mad tero parbhu tehin jam kal Deray
asañkh jiiv tari tari gaye lai lai tumharo naam
ab kī berī baap jī paro mugadh se kaam
asankh jiw tari tari gaye lai lai tumharo nam
ab ki beri bap ji paro mugadh se kaam
iisur iis agochrā antarjāmī naath
Thākur shrīhari dvārikā dāsan karan sanāth
isur is agochra antarjami nath
Thakur shrihari dwarika dasan karan sanath
adham udhāran bird sun niDar rahyoñ man māñhiñ
birda baano kī haar dev kī taaro gahi bāñhiñ
adham udhaaran bird sun niDar rahyon man manhin
birda bano ki haar dew ki taro gahi banhin
sadan kasā.ī dekhi kai ko nahiñ det baḌā.i
baḌe birchh kī chhāñh meñ ko nahi bilmat aa.i
sadan kasai dekhi kai ko nahin det baDai
baDe birchh ki chhanh mein ko nahi bilmat aai
chaurāsī charkhān ko dukh saho nahi jaay
'dayādās' tāteñ la.ī saran tihārī aay
chaurasi charkhan ko dukh saho nahi jay
'dayaadas' taten lai saran tihaari aay
kaam krodh mad lobh nahiñ khaT bikār kari hiin
panth kupanth na jānhīñ barham bhaav ras liin
kaam krodh mad lobh nahin khaT bikar kari hin
panth kupanth na jaanhin barham bhaw ras lin
nirapachchhī ke pachchh tum nirādhār ke dhaar
mere tum hiiñ naath ik jīvan parān adhār
nirapachchhi ke pachchh tum niradhaar ke dhaar
mere tum hin nath ek jiwan paran adhaar
hau anāth ke naath tum nek nihāro mohi
'dayādās' tan he parbhū lahar mehar kī hohi
hau anath ke nath tum nek nihaaro mohi
'dayaadas' tan he parbhu lahar mehar ki hohi
raam ramaiyā ramāpati rām-chandr raghubīr
rāghav raghubar rāghvā rādhāraman ahiir
ram ramaiya ramapati ram-chandr raghubir
raghaw raghubar raghwa radhaaraman ahir
pārbarham parmātmā purushottam pramhañs
padamnām pītāmbar parmesur parsans
parbarham parmatma purushottam pramhans
padamnam pitambar parmesur parsans
dīnbandhu dayāl jū dīnānāth dines
devan dev damodarā dasmukh-badh avdhes
dinbandhu dayal ju dinanath dines
dewan dew damodara dasmukh-badh awdhes
maqsūdan mohan madan mādho machchh murār
madhārī shrīmukuTghar madhupur mall-pachhār
maqsudan mohan madan madho machchh murar
madhaari shrimukuTghar madhupur mall-pachhaar
badrīpati byādhā haran bansīdhar ranchhor
parsrām bārāh bapu pāvan bañdīchhor
badripati byaadha haran bansidhar ranchhor
parsram barah bapu pawan bandichhor
sunat dīntā daas kī bilam kahūñ nahi kiin
'dayādās' man kāmnā manbhā.ī kar diin
sunat dinta das ki bilam kahun nahi kin
'dayaadas' man kaamna manbhai kar din
abināsī chetan purush jag jhūTho janjāl
hari chitvan meñ man magan sukh paayo tatkāl
abinasi chetan purush jag jhuTho janjal
hari chitwan mein man magan sukh payo tatkal
jo jaakī tākai saran taako taahi khabhār
tum sab jānat naath jū kahā kahauñ bistār
jo jaki takai saran tako tahi khabhaar
tum sab jaanat nath ju kaha kahaun bistar
tiin lok meñ he parbhū tum hiiñ kaaro so hoy
sur nar muni gandharb je meTi sakaiñ nahi koy
tin lok mein he parbhu tum hin karo so hoy
sur nar muni gandharb je meTi sakain nahi koy
ardh urdh madhi surti dhari japai ju ajpā jaap
'dayā' lahai nij dhaam kuuñ chhuTai sakal santāp
ardh urdh madhi surti dhari japai ju ajpa jap
'daya' lahai nij dham kun chhuTai sakal santap
'dayākuñvar' yā jakt meñ nahīñ rahyo thir koy
jaiso baas srāñy ko taiso ye jag hoai
'dayakunwar' ya jakt mein nahin rahyo thir koy
jaiso bas srany ko taiso ye jag hoai
saadh saadh sab ko.u kahae durlabh sādhū sev
jab sañgati haive saadh kī tab pāvai sab bhev
sadh sadh sab kou kahae durlabh sadhu sew
jab sangati haiwe sadh ki tab pawai sab bhew
aiñchā khaiñchī karat haiñ apnī apnī or
ab kī ber ubaar lo tribhuvan bandī-chor
aincha khainchi karat hain apnī apnī or
ab ki ber ubar lo tribhuwan bandi-chor
tumhīñ suuñ Tekā lagau jaise chandr chakor
ab kāsūñ jhañkhā karauñ mohan nandkisor
tumhin sun Teka lagau jaise chandr chakor
ab kasun jhankha karaun mohan nandkisor
malyāgir ke nikaT hiiñ sab chandan ho jaat
chhūTai karam kubāsnā mahā sugandh mahkāt
malyagir ke nikaT hin sab chandan ho jat
chhuTai karam kubasna maha sugandh mahkat
bajrai tinkā karat hau tinkai bajr banāy
mehr tumhārī he parbhū sāgar giri utrāy
bajrai tinka karat hau tinkai bajr banay
mehr tumhaari he parbhu sagar giri utray
karm phāñs chhūTai nahīñ thakit bhayo bal mor
ab kī ber ubāri lo Thākur bañdīchhor
karm phans chhuTai nahin thakit bhayo bal mor
ab ki ber ubari lo Thakur bandichhor
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere