Ashaar of Fida Warsi
falak ḳhud piir hai gardish satā.e aap hī us ko
usī se aah ko shikva hai apnī nā-rasā.ī kā
falak KHud pir hai gardish satae aap hi us ko
usi se aah ko shikwa hai apni na-rasai ka
ḳhudā samjhe tujhe nāseh malāmat par malāmat kī
kiyā āḳhir ko tū ne faash parda pārsā.ī kā
KHuda samjhe tujhe naseh malamat par malamat ki
kiya aaKHir ko tu ne fash parda parsai ka
maza meñ dam bharā vāris kī sachchī āshnā.ī kā
ye kyā ma.alūm thā ham ko ki ġham hogā judā.ī kā
maza meñ dam bharā wāris kī sachchī āshnāī kā
ye kyā malūm thā hum ko ki ġham hogā judāī kā
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere