Ashaar of Nisar Akbarabadi
bāġh-o-bahisht-o-hūr-o-jannat abrāroñ ko kījiye 'ināyat
hameñ nahīñ kuchh us kī zarūrat aap ke ham dīvāne haiñ
bagh-o-bahisht-o-hur-o-jannat abraron ko kijiye 'inayat
hamein nahin kuchh us ki zarurat aap ke hum diwane hain
nau-asīr-e-furqat huuñ vasl-e-yār mujh se pūchh
ho ga.ī ḳhizāñ dam meñ sab bahār mujh se pūchh
nau-asir-e-furqat hun wasl-e-yar mujh se puchh
ho gai KHizan dam mein sab bahaar mujh se puchh
ḳhvāb hai na bedārī shukr hai na hoshiyārī
lutf-e-lazzat-e-kaif-e-be-ḳhumār mujh se pūchh
KHwab hai na bedari shukr hai na hoshiyari
lutf-e-lazzat-e-kaif-e-be-KHumar mujh se puchh
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere