Ashaar of Sadiq Lakhnavi
dil fañsā kar zulf meñ ḳhudā hai pashemānī mujhe
dahr meñ ḳhalq-e-ḳhudā kahtī zindānī mujhe
dil fansa kar zulf mein KHuda hai pashemani mujhe
dahr mein KHalq-e-KHuda kahti zindani mujhe
jaan kā kuchh ḳhuf jāñbāzān-e-ulfat ko nahīñ
aap dikhlāteñ haiñ kyuuñ teġh-e-safhānī mujhe
jaan ka kuchh KHuf jaanbazan-e-ulfat ko nahin
aap dikhlaten hain kyun tegh-e-safhani mujhe
ātish-e-furqat se 'sādiq' āblā-tan hogā
qabr meñ rakhnā pas-e-murdan b-āsānī mujhe
aatish-e-furqat se 'sadiq' aabla-tan hoga
qabr mein rakhna pas-e-murdan b-asani mujhe
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere