Ashaar of Saeed Shahidi
aaj unke dāman per ashk mere Dhalte haiñ
ġham ke tez-rū dhāre rāste badalte haiñ
aaj unke daman per ashk mere Dhalte hain
gham ke tez-ru dhaare raste badalte hain
dekhnā zarā hamdam raushnī hai gulshan meñ
āshiyānā jaltā hia yā charāġh jalte hiañ
dekhna zara hamdam raushni hai gulshan mein
aashiyana jalta hia ya charagh jalte hian
ye kis ne nigāhoñ se sāġhar pilā.e ḳhudī per merī be-ḳhudī banke chhā.e
ḳhabardār ai dil maqām-e-adab hai kahīñ bādā-noshī pe dhabbbā n aa.e
ye kis ne nigahon se saghar pilae KHudi per meri be-KHudi banke chhae
KHabardar ai dil maqam-e-adab hai kahin baada-noshi pe dhabbba n aae
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere