Ashaar of Bahadur Shah Zafar
merī aañkh band thī jab talak vo nazar meñ nūr-e-jamāl thā
khulī aañkh to nā ḳhabar rahī ki vo ḳhvāb thā ki ḳhayāl thā
meri aankh band thi jab talak wo nazar mein nur-e-jamal tha
khuli aankh to na KHabar rahi ki wo KHwab tha ki KHayal tha
'zafar' us se chhuT ke jo jast kī to ye jaanā ham ne ki vāqa.ī
faqat ek qaid ḳhudī kī thī na qafas thā koī na jaal thā
'zafar' us se chhuT ke jo jast ki to ye jaana hum ne ki waqai
faqat ek qaid KHudi ki thi na qafas tha koi na jal tha
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere