Ashaar of Barq Lakhnavi
baiTh kar ro.e jahāñ ġhurbat meñ dariyā ho.gayā
chaar aañsū jab gire āñkhoñ se chaukā ho.gayā
baiTh kar roe jahan ghurbat mein dariya hogaya
chaar aansu jab gire aankhon se chauka hogaya
shauḳhī-e-rañg-e-gul-e-ruḳhsār us per ḳhatm hai
aks se lala-e-yaman hiire kā buñdā ho gayā
shauKHi-e-rang-e-gul-e-ruKHsar us per KHatm hai
aks se lala-e-yaman hire ka bunda ho gaya
khel samjhā kārobār-e-ālam-e-fānī ka ‘barq’
aañkh ko nazzārā-e-hastī tamāshā ho gayā
khel samjha karobar-e-alam-e-fani ka ‘barq’
aankh ko nazzara-e-hasti tamasha ho gaya
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere