Ashaar of Irfan Islampuri
dīn-o-maz.hab se tire āshiq ko ab kyā kaam hai
vo samajhtā hī nahīñ kyā kufr kyā islām hai
din-o-mazhab se tere aashiq ko ab kya kaam hai
wo samajhta hi nahin kya kufr kya islam hai
āshiq hai gul-ezār kis kā
dil us kā hai dāġhdār kis kā
aashiq hai gul-ezar kis ka
dil us ka hai daghdar kis ka
ye haal khulā na kuchh bhī 'irfāñ'
hai tujh ko ye intizār kis kā
ye haal khula na kuchh bhi 'irfan'
hai tujh ko ye intizar kis ka
nisbat to hai bas usī se sab ko
gul us ke hue to ḳhaar kis kā
nisbat to hai bas usi se sab ko
gul us ke hue to KHar kis ka
kyuuñ na dozaḳh bhī ho jannat mujhe jab ḳhud vo kahe
is gunahgār ko le jaao ye maġhfūr nahīñ
kyuñ na dozaḳh bhī ho jannat mujhe jab ḳhud wo kahe
is gunahgār ko le jao ye maġhfūr nahīñ
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere