Ashaar of Najeeb Lakhnavi
tufail-e-āl-e-muhammad najāt hogī najīb
siyāh-kār agar aur gunāh-gār huñ meñ
tufail-e-al-e-muhammad najat hogi najib
siyah-kar agar aur gunah-gar hun mein
hujūm-e-dāġh-e-mohabbat meñ lāla-zār huuñ maiñ
ḳhizāñ kā ḳhauf nahīñ jisko vo bahār huuñ maiñ
hujum-e-dagh-e-mohabbat mein lala-zar hun main
KHizan ka KHauf nahin jisko wo bahaar hun main
kudūrat-e-dil-e-māshūq-e-gul-e-'izār huuñ maiñ
havā uḌā na sake jisko vo ġhubār huuñ maiñ
kudurat-e-dil-e-mashuq-e-gul-e-'izar hun main
hawa uDa na sake jisko wo ghubar hun main
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere