Ashaar of Sabr Lakhnavi
koī ummīd rihā.ī kī na thī ‘sabr’ mujhe
un kī zulfoñ se muqaddar meñ jo thā dil niklā
koi ummid rihai ki na thi ‘sabr’ mujhe
un ki zulfon se muqaddar mein jo tha dil nikla
jis jagah amn samajh ka maiñ zrā jā baiThā
merī taqdīr se vo bhī dar-e-qātil niklā
jis jagah amn samajh ka main zra ja baiTha
meri taqdir se wo bhi dar-e-qatil nikla
bazm-e-mātam meñ vo gul laayā hia saath aġhyār ko
mere phūloñ meñ kiyā hia us ne shāmil ḳhaar ko
bazm-e-matam mein wo gul laya hia sath aghyar ko
mere phulon mein kiya hia us ne shamil KHar ko
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere