Ashaar of Siraj Aurangabadi
vo ajab ghaḌī thī meñ jis ghaḌī liyā dars nusḳha-e-ishq ke
ki kitāb aql kī taaq per jiyūñ dharī thī tiyūñ hī dharī rahī
wo ajab ghaDi thi mein jis ghaDi liya dars nusKHa-e-ishq ke
ki kitab aql ki taq per jiyun dhari thi tiyun hi dhari rahi
ḳhalvat-e-intizār meñ us kī
dar-o-dīvār kā tamāshā hai
KHalwat-e-intizar mein us ki
dar-o-diwar ka tamasha hai
mat kaho mujh siiñ qissā-e-farhād
ḳhvāb-e-shīrīñ meñ aaj sotā hai
mat kaho mujh sin qissa-e-farhad
KHwab-e-shirin mein aaj sota hai
shah-e-be-ḳhudī ne atā kiyā mujhe ab libās-e-barhangī
na ḳhird kī baḳhiyā-garī rahī na junūñ kī parda-darī rahī
shah-e-be-KHudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barhangi
na KHird ki baKHiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
kabhī samt-e-ġhaib siiñ kyā havā ki chaman zuhūr kā jal gayā
magar ek shāḳh-e-nihāl-e-ġham jise dil kaho so harī rahī
kabhi samt-e-ghaib sin kya hawa ki chaman zuhur ka jal gaya
magar ek shaKH-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere