Ashaar of Ata Hussain Fani
ā.īna-e-dil ko saaf kar dekhā
us meñ aslan nahīñ qusūr kiyā
aaina-e-dil ko saf kar dekha
us mein aslan nahin qusur kiya
khol aañkh apnī dekh ayaañ haq kā nuur hai
har barg va har shajar meñ usī kā zuhūr hai
khol aankh apnī dekh ayan haq ka nur hai
har barg wa har shajar mein usi ka zuhur hai
banda qusūr-vār hai ḳhāliq mirā ġhafūr
ab ḳhauf dal meñ bhalā ham kabhū kareñ
banda qusur-war hai KHaliq mera ghafur
ab KHauf dal mein bhala hum kabhu karen
kār-e-majāz mujh pe huā is qadar buland
ḳhirqa ko chaak kar ke kyā hā-o-hū kareñ
kar-e-majaz mujh pe hua is qadar buland
KHirqa ko chaak kar ke kya ha-o-hu karen
sharminda huuñ gunāh se apne maiñ is qadar
kyā chashm-e-pur-gunah ko terī dū-badū kareñ
sharminda hun gunah se apne main is qadar
kya chashm-e-pur-gunah ko teri du-badu karen
jab ḳhudī ahadiyat ne duur kiyā
nūr-e-vahdat ne tab zuhūr kiyā
jab KHudi ahadiyat ne dur kiya
nur-e-wahdat ne tab zuhur kiya
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere