Ashaar of Mirza Mazhar Jan-e-Janan
shāḳh-e-gul hiltī nahīñ ye bulbuloñ ko baaġh meñ
haath apne ke ishāre se bulātī hai bahār
shāḳh-e-gul hiltī nahīñ ye bulbuloñ ko baġh meñ
hath apne ke ishāre se bulātī hai bahār
ḳhudā ke vāste is ko na Toko
yahī ik shahr meñ qātil rahā hai
ḳhudā ke wāste is ko na Toko
yahī ek shahr meñ qātil rahā hai
ham giraftāroñ ko ab kyā kaam hai gulshan se lek
jī nikal jaatā hai jab sunte haiñ aatī hai bahār
hum giraftāroñ ko ab kyā kaam hai gulshan se lek
jī nikal jatā hai jab sunte haiñ aatī hai bahār
agar ye sard-mehrī tuj ko āsā.ish na sikhlātī
to kyūñkar āftāb-e-husn kī garmī meñ niind aatī
agar ye sard-mehrī tuj ko āsāish na sikhlātī
to kyūñkar āftāb-e-husn kī garmī meñ nind aatī
martā huuñ mīrzā.i-e-gul dekh har sahar
sūraj ke haath chunarī to pañkhā sabā ke haath
martā huñ mīrzāi-e-gul dekh har sahar
sūraj ke hath chunarī to pañkhā sabā ke hath
mirā jī jaltā hai us bulbul-e-bekas kī ġhurbat par
ki jin ne aasre par gul ke chhoḌā āshiyāñ apnā
mirā jī jaltā hai us bulbul-e-bekas kī ġhurbat par
ki jin ne aasre par gul ke chhoḌā āshiyāñ apnā
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere