Ashaar of Raza Firangi Mahali
u'mar-bhar yād-e-durr-e-dandāñ meñ maiñ giryāñ rahā
qabr per juz dāman-e-shabnam koī chādar na ho
u'mar-bhar yaad-e-durr-e-dandan mein main giryan raha
qabr per juz daman-e-shabnam koi chadar na ho
qalb-e-momin ā.īna hai zāt-e-momin kā ‘razā’
dekh kar hairāñ use kiyuñ aql-e-asqandar na ho
qalb-e-momin aaina hai zat-e-momin ka ‘raza’
dekh kar hairan use kiyun aql-e-asqandar na ho
tairtā hai phuul ban kar bahr-e-ġham meñ dil mirā
kis tarah Duube vo kashtī jis meñ kuchh lañgar na ho
tairta hai phul ban kar bahr-e-gham mein dil mera
kis tarah Dube wo kashti jis mein kuchh langar na ho
hijr ke ālām se chhūTūñ ye qismat meñ nahīñ
maut bhī aane kā gar vā'da kare bāvar n ho
hijr ke aalam se chhuTun ye qismat mein nahin
maut bhi aane ka gar wa'da kare bawar n ho
uzr kuchh mujhko nahīñ qātil tū bismillah kar
sar ye hāzir hai magar ehsān mere sar na ho
uzr kuchh mujhko nahin qatil tu bismillah kar
sar ye hazir hai magar ehsan mere sar na ho
tairtā hai phuul ban kar bahr-e-ġham meñ dil mirā
kis tarah Duube vo kashtī jis meñ kuchh lañgar na ho
tairta hai phul ban kar bahr-e-gham mein dil mera
kis tarah Dube wo kashti jis mein kuchh langar na ho
uḌ sakeñ barsāt meñ kis tarah jugnū be-shumār
josh-e-giriyā meñ sharar-afshāñ jo dil aksar na ho
uD saken barsat mein kis tarah jugnu be-shumar
josh-e-giriya mein sharar-afshan jo dil aksar na ho
-
Tag : Girya-o-Zari
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere