Ashaar of Rind Lakhnavi
mushtark shab se huā ḳhūn-e-jigar ashkoñ meñ
raat se rañg badalne lage aañsū apnā
mushtark shab se hua KHun-e-jigar ashkon mein
raat se rang badalne lage aansu apna
raam kis tarah karegā koī sayyād use
apne saaye se bhī ram kartā hai aahū apnā
ram kis tarah karega koi sayyaad use
apne saye se bhi ram karta hai aahu apna
pusht-e-pā maare na kiyūñ himmat-e-gardūñ 'rind'
shal nahīñ fazl-e-ḳhudā se abhī baazū apnā
pusht-e-pa mare na kiyun himmat-e-gardun 'rind'
shal nahin fazl-e-KHuda se abhi bazu apna
bū-e-gul se mujhe dhoka na de us kī bū kā
chochlā rahne de bād-e-sahrī tū apnā
bu-e-gul se mujhe dhoka na de us ki bu ka
chochla rahne de baad-e-sahri tu apna
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere