Ashaar of Safi Aurangabadi
baḌī chiiz aañkh hai insān pahle aañkh pahchāne
nazar kā taaḌ jaanā bhī to aadhī 'aib daanī hai
baDi chiz aankh hai insan pahle aankh pahchane
nazar ka taD jaana bhi to aadhi 'aib dani hai
lab par fuġhāñ na aañkh meñ aañsū dil meñ dard
maiñ kyā karūñ zamāna agar qadr-dāñ hai ab
lab par fughan na aankh mein aansu dil mein dard
main kya karun zamana agar qadr-dan hai ab
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere