Ashaar of Saghar Siddiqi
aao ik sajda kareñ ālam-e-madhoshī meñ
log kahte haiñ ki 'sāġhar' ko ḳhudā yaad nahīñ
aao ek sajda karen aalam-e-madhoshi mein
log kahte hain ki 'saghar' ko KHuda yaad nahin
maiñ talḳhī-e-hayāt se ghabrā ke pī gayā
ġham kī siyāh raat se ghabrā ke pī gayā
main talKHi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
gham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya
ehsās ke mai-ḳhāne meñ khaañ ab fikr-o-nazar kī kindīleñ
ālām kī shiddat kiyā kahye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e
ehsas ke mai-KHane mein khan ab fikr-o-nazar ki kindilen
aalam ki shiddat kiya kahye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
aaj rūThe hue jāsan ko bahut yaad kiyā
apne ujḌe hue gulshan ko bahut yaad kiyā
aaj ruThe hue jasan ko bahut yaad kiya
apne ujDe hue gulshan ko bahut yaad kiya
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere