Ashaar of Shakeel Badayuni
har qadam kashmakash har-nafs uljhaneñ zindagī vaqf hai dard-e-sar ke liye
pahle apne hī darmāñ kā ġham thā hameñ ab dvā chāhi.e chārāgar ke li.e
har qadam kashmakash har-nafs uljhanen zindagi waqf hai dard-e-sar ke liye
pahle apne hi darman ka gham tha hamein ab dwa chahie chaaragar ke lie
qātil ko hai zo'm-e-chāra-garī dard-e-nihāñ kī ḳhair nahīñ
vo mujh pe karam farmāne lage shāyad mirī jaañ kī ḳhair nahīñ
qatil ko hai zo'm-e-chaara-gari dard-e-nihan ki KHair nahin
wo mujh pe karam farmane lage shayad meri jaan ki KHair nahin
utrā vo ḳhumār-e-bāda-e-ġham rindoñ ko huā idrāke-e-sitam
khulne ko hai mai-ḳhāne kā bharam ab pīre-e-muġhāñ kī ḳhair nahīñ
utra wo KHumar-e-baada-e-gham rindon ko hua idrake-e-sitam
khulne ko hai mai-KHane ka bharam ab pire-e-mughan ki KHair nahin
maiñe baḳhsī hai tārīkiyoñ ko ziyā aur ḳhud ik tajllī kā muhtāj huuñ
raushnī dene vaalī ko bhī kam se kam ik diyā chāhiye apne ghar ke liye
maine baKHsi hai tarikiyon ko ziya aur KHud ek tajlli ka muhtaj hun
raushni dene wali ko bhi kam se kam ek diya chahiye apne ghar ke liye
mujhe raas aayeñ ḳhudā kare ishtibāh kī sā.ateñ
unheñ e'tibār-e-vafā to hai mujhe e'tibār-e-sitam nahīñ
mujhe ras aayen KHuda kare ishtibah ki saaten
unhen e'tibar-e-wafa to hai mujhe e'tibar-e-sitam nahin
merī zindagī pe na muskurā mujhe zindagī kā alam nahīñ
jise tere ġham se ho vāstā vo ḳhizāñ bahār se kam nahīñ
meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin
jise tere gham se ho wasta wo KHizan bahaar se kam nahin
mujhe raas aayeñ ḳhudā kare ishtibāh kī sā.ateñ
unheñ e'tibār-e-vafā to hai mujhe e'tibār-e-sitam nahīñ
mujhe ras aayen KHuda kare ishtibah ki saaten
unhen e'tibar-e-wafa to hai mujhe e'tibar-e-sitam nahin
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere