Tufail Hoshiarpuri
Ghazal 13
Kalaam 2
Doha 1
dil meñ sad.hā ḳhvāhisheñ jī meñ laakh armān
duniyā meñ sukh kis tarah paa.e aaj insān
daulat-mand kā raaj hai daulat-mand kā tej
bin daulat ke zindagī kāñToñ kī hai sej
dhoke se daulat mile jhūTh chaḌhe parvān
sachchā.ī kā ho gayā duniyā meñ fuqdān
aaj paap ke peḌ meñ phuul aa.eñ aur phal
mil gayā gir kar ḳhaak meñ dharm kā tāj-mahal
jaane 'adl ko kyā huā gayā kahāñ insāf
qātil ko har jurm se daulat kare muaaf
daulat paa.e mimbarī daulat bane vazīr
pighle zar kī aañch se lohe kī zanjīr
aaj ke insāñ kā huā yuuñ kamzor īmān
qasmeñ khāne ke liye rah gayā hai qur.ān
daulat ho to niich bhī aaj uttam kahlā.e
ūñchā banñe ke liye ūñche mahal banā.e
duniyā kā aise huā daulat se sanjog
daulat hī ko rab kaheñ is duniyā ke log
daulat hī se shaan hai daulat hī se aan
daulat hai is daur meñ 'izzat kī pahchān
daulat hī dastūr hai daulat hī qānūn
daulat ke sailāb meñ bah jaatā hai ḳhuun
sāchī baat hai dosto rakhnā hameñ muaaf
daulat hī kā naam hai is jag meñ insāf
sikka daulat kā chale duniyā meñ din raat
nirdhan kī is daur meñ koī na pūchhe baat
dil mein sadha KHwahishen ji mein lakh arman
duniya mein sukh kis tarah pae aaj insan
daulat-mand ka raj hai daulat-mand ka tej
bin daulat ke zindagi kanTon ki hai sej
dhoke se daulat mile jhuTh chaDhe parwan
sachchai ka ho gaya duniya mein fuqdan
aaj pap ke peD mein phul aaen aur phal
mil gaya gir kar KHak mein dharm ka taj-mahal
jaane 'adl ko kya hua gaya kahan insaf
qatil ko har jurm se daulat kare muaf
daulat pae mimbari daulat bane wazir
pighle zar ki aanch se lohe ki zanjir
aaj ke insan ka hua yun kamzor iman
qasmen khane ke liye rah gaya hai quran
daulat ho to nich bhi aaj uttam kahlae
uncha banne ke liye unche mahal banae
duniya ka aise hua daulat se sanjog
daulat hi ko rab kahen is duniya ke log
daulat hi se shan hai daulat hi se aan
daulat hai is daur mein 'izzat ki pahchan
daulat hi dastur hai daulat hi qanun
daulat ke sailab mein bah jata hai KHun
sachi baat hai dosto rakhna hamein muaf
daulat hi ka nam hai is jag mein insaf
sikka daulat ka chale duniya mein din raat
nirdhan ki is daur mein koi na puchhe baat