Ashaar of Zaheen Shah Taji
har tamannā ishq meñ harf-e-ġhalat
āshiqī meñ mānī-e-hāsil fareb
har tamanna ishq mein harf-e-ghalat
aashiqi mein mani-e-hasil fareb
duā lab pe aatī hai dil se nikal kar
zamīñ se pahuñchtī hai baat āsmāñ tak
dua lab pe aati hai dil se nikal kar
zamin se pahunchti hai baat aasman tak
saañs meñ āvāz-e-nai hai dil ġhazal-ḳhvāñ hai 'zhīn'
shāyad aane ko hai vo jān-e-bahārāñ is taraf
sans mein aawaz-e-nai hai dil ghazal-KHwan hai 'zhin'
shayad aane ko hai wo jaan-e-bahaaran is taraf
husn-mahv-e-rang-o-bū hai ishq ġharq-e-hā.e-o-hū
har gulistāñ us taraf hai har bayābāñ is taraf
husn-mahw-e-rang-o-bu hai ishq gharq-e-hae-o-hu
har gulistan us taraf hai har bayaban is taraf
azal se abad tak kabhī aañkh dil kī
na jhapke jhapakne na paa.e to kyā ho
azal se abad tak kabhi aankh dil ki
na jhapke jhapakne na pae to kya ho
allāh allāh vo jamāl-e-dil-fareb
mahfil-e-kaunain hai mahfil-e-fareb
allah allah wo jamal-e-dil-fareb
mahfil-e-kaunain hai mahfil-e-fareb
ishq har-ān na.ī shān-e-nazar rakhtā hai
ġhamza-o-ishva-o-andāz-o-adā kuchh bhī nahīñ''
ishq har-an nai shan-e-nazar rakhta hai
ghamza-o-ishwa-o-andaz-o-ada kuchh bhi nahin
vo chamkā chāñd chhaTkī chāñdnī taare nikal aa.e
vo kyā aa.e zamīñ par āsmāñ ne phuul barsā.e
wo chamka chand chhaTki chandni tare nikal aae
wo kya aae zamin par aasman ne phul barsae
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere