Saakhi
Best Collection of Saakhi by famous poets. Read Saakhi of Sant Kabir, Sant Dadu Dyal and many others.
kabīr sañgat saadh kī harai aur kī byādhi
sañgat burī asādh kī aaTho pahar upādhi
kabir sangat sadh ki harai aur ki byaadhi
sangat buri asadh ki aaTho pahar upadhi
sañgati bha.ī to kyā bhyā hirdā bhyā kaThor
nau nejā paanī chḌhai taū na bhījai kor
sangati bhai to kya bhya hirda bhya kaThor
nau neja pani chDhai tau na bhijai kor
birah bhuvañgam paiThi kai kiyā kaleje ghaav
birahin añg na modihai jayoñ bhāvai tayoñ khaav
birah bhuwangam paiThi kai kiya kaleje ghaw
birahin ang na modihai jayon bhawai tayon khaw
sukhiyā sab sansār hai khāvai au sovai
dukhiyā daas 'kabīr' hai jāgai au rovai
sukhiya sab sansar hai khawai au sowai
dukhiya das 'kabir' hai jagai au rowai
ek siis kā mānvā kartā bahutak hiis
lañkāpti rāvan gayā biis bhujā das siis
ek sis ka manwa karta bahutak his
lankapti rawan gaya bis bhuja das sis
yahī prem nirbāhiye rahni kināre baiThi
sāgar teñ nyārā rahā gayā lahri meñ paiThi
yahi prem nirbahiye rahni kinare baiThi
sagar ten nyara raha gaya lahri mein paiThi
gurū samarth sir par khaḌe kahā kamī tohi daas
riddhi siddhi sevā karin muktī na chhāḌai paas
guru samarth sir par khaDe kaha kami tohi das
riddhi siddhi sewa karin mukti na chhaDai pas
kabīr gurū sab ko chahaiñ gurū ko chahaiñ na koy
jab lag aas sarīr kī tab lag daas na hoy
kabir guru sab ko chahain guru ko chahain na koy
jab lag aas sarir ki tab lag das na hoy
amrit kerī moTrī rākhī satgurū chhori
aap sarīkhā jo milai taahi pilāvaiñ ghori
amrit keri moTri rakhi satguru chhori
aap sarikha jo milai tahi pilawain ghori
aasai pāsai jo phirai nipaT pisāvai soai
kiilā se laagā rahai tā ko bighan na hoai
aasai pasai jo phirai nipaT pisawai soai
kila se laga rahai ta ko bighan na hoai
so din kaisā goygā gurū gaheñge bāñhi
apnā kari baiThāvahīñ charan kañval kī chhāñhi
so din kaisa goyga guru gahenge banhi
apna kari baiThawahin charan kanwal ki chhanhi
sādhun ke satsañg teñ tharhar kāñpai deñh
kabhuñ bhaav kubhāv teñ mat miT jaai saneh
sadhun ke satsang ten tharhar kanpai denh
kabhun bhaw kubhaw ten mat miT jai saneh
pirītam ko patiyāñ likhūñ jo kahuñ hoai bides
tan meñ man meñ nain meñ tā ko kahā sandes
piritam ko patiyan likhun jo kahun hoai bides
tan mein man mein nain mein ta ko kaha sandes
hirde bhītar dav balaiñ dhuāñ na pargaT hoai
jā ke laagī so lakhai kī jin laa.ī soai
hirde bhitar daw balain dhuan na pargaT hoai
ja ke lagi so lakhai ki jin lai soai
prem prem sab koi kahae prem na chīnahai koy
aaTh pahar bhīnā rahai prem kahāvai soye
prem prem sab koi kahae prem na chinahai koy
aaTh pahar bhina rahai prem kahawai soye
ye tat vo tat ek hai ek parān dui gaat
apne jai se jāniye mere jiai kī baat
ye tat wo tat ek hai ek paran dui gat
apne jai se jaaniye mere jiai ki baat
bin pāñvan kī raah hai bin bastī kā des
binā pinD kā purūsh hai kahae 'kabīr' sañdes
bin panwan ki rah hai bin basti ka des
bina pinD ka purush hai kahae 'kabir' sandes
'kabīr' rasrī paañv meñ kahā sovai sukh chain
svaas nagāḌā kūñch kā bājat hai din rain
'kabir' rasri panw mein kaha sowai sukh chain
swas nagaDa kunch ka bajat hai din rain
kājar kerī koTharī aisā ye sansār
balihārī vā daas kī paiThi ke niksanhār
kajar keri koThari aisa ye sansar
balihaari wa das ki paiThi ke niksanhaar
'kabīr' naav hai jhāñjhrī kuurā khevanhār
halke halke tir gaye buuḌe jin sir bhaar
'kabir' naw hai jhanjhri kura khewanhaar
halke halke tir gaye buDe jin sir bhaar
birah jalantī maiñ phiroñ mo birahinī ko dukh
chhāñh na baiThoñ Darpatī mat jali uTTai ruukh
birah jalanti main phiron mo birahini ko dukh
chhanh na baiThon Darpati mat jali uTTai rukh
'kabīr' chandan ke nikaT niim bhī chandan hoai
buuḌe baañs baḌā.iyā yoñ jani buuḌo koy
'kabir' chandan ke nikaT nim bhi chandan hoai
buDe bans baDaiya yon jani buDo koy
hañs hañs kañt na pāiyā jin paaya tin roye
hāñsī khele piya milāiñ to kaun duhāgini hoai
hans hans kant na paiya jin paya tin roye
hansi khele piya milain to kaun duhagini hoai
prīti aḌī hai tujh se bahu bahu kañt
jo hañs bolaoñ aur se niil rañgāon dant
priti aDi hai tujh se bahu bahu kant
jo hans bolaon aur se nil rangaon dant
gāgar uupar gāgrī chole uupar dvaar
sulī uupar sāñthrā jahāñ bulābai yaar
gagar upar gagri chole upar dwar
suli upar santhra jahan bulabai yar
añk bharī bhari bheñTiye man nahiñ bāñdhai dhiir
kah 'kabīr' te kyā mile jab lagi doai sarīr
ank bhari bhari bhenTiye man nahin bandhai dhir
kah 'kabir' te kya mile jab lagi doai sarir
nainoñ kī kari koTharī putlī palañg bichhā.ye
palkoñ kī chik Daarī kai piya ko liyā rijhā.e
nainon ki kari koThari putli palang bichhaye
palkon ki chik Dari kai piya ko liya rijhae
ekam ekā hon de binsin de kailas
dhartī ambar jaan de mo meñ mere daas
ekam eka hon de binsin de kailas
dharti ambar jaan de mo mein mere das
uttam priti so jāniye satgurū se jo hoai
gunvantā au darbay kī priti krai sab koy
uttam priti so jaaniye satguru se jo hoai
gunwanta au darbay ki priti krai sab koy
jahāñ prem tahñ nem nahi tahāñ na budhi bayauhār
prem magan jab man bhyā tab kaun ginai tithi baar
jahan prem tahn nem nahi tahan na budhi bayauhaar
prem magan jab man bhya tab kaun ginai tithi bar
sur nar thāke muni janā thāke bisnu mahes
tahāñ 'kabīrā' chaḌhi gayā sat-gurū ke updes
sur nar thake muni jana thake bisnu mahes
tahan 'kabira' chaDhi gaya sat-guru ke updes
naam na raTā to kyā huā jo antar hai het
ptabarta pati ko bhajai mukh se naam na let
nam na raTa to kya hua jo antar hai het
ptabarta pati ko bhajai mukh se nam na let
kājar kerī koTharī kājar hī kā koT
balihārī vā daas kī rahai naam kī oT
kajar keri koThari kajar hi ka koT
balihaari wa das ki rahai nam ki oT
prem to aisā kījiye jaise chand chakor
ghīñch TuuTi bhuiñ maañ girai chitvai vaahī or
prem to aisa kijiye jaise chand chakor
ghinch TuTi bhuin man girai chitwai wahi or
jo jan birhi naam ke sadā magan man māhiñ
jayoñ darpan kī sundarī kinhūñ pakḌī nāhiñ
jo jan birhi nam ke sada magan man mahin
jayon darpan ki sundari kinhun pakDi nahin
kaal chakr chakkī chalai sadā divas arū raat
sagun agun dui pāTalā tā meñ jiiv pisāt
kal chakr chakki chalai sada diwas aru raat
sagun agun dui paTala ta mein jiw pisat
jal meñ basai kamodinī chandā basai akaas
jo hai jā kā bhāvtā so taahī ke paas
jal mein basai kamodini chanda basai akas
jo hai ja ka bhawta so tahi ke pas
sevak svāmī ek mati jo mati meñ mati mili jaai
chaturā.ī rījhaiñ nahīñ rījhaiñ man ke bhaay
sewak swami ek mati jo mati mein mati mili jai
chaturai rijhain nahin rijhain man ke bhay
hañso to dukh nā bīsrai roauñ bal ghaTi jaai
man.hīñ māñhīñ bisurnā jayoñ ghun kāThiñ khaay
hanso to dukh na bisrai roaun bal ghaTi jai
manhin manhin bisurna jayon ghun kaThin khay
sevak sevā meñ rahai anat kahūñ nahi jaai
dukh sukh sir uupar sahai kah 'kabīr' samujhāy
sewak sewa mein rahai anat kahun nahi jai
dukh sukh sir upar sahai kah 'kabir' samujhay
nirbañdhan bāñdhā rahai bāñdhā nirbañdh hoy
karam krai kartā nahīñ daas kahāvai soai
nirbandhan bandha rahai bandha nirbandh hoy
karam krai karta nahin das kahawai soai
'kabīr' man panchhī bhyā bhāvai tahvāñ jaai
jo jaisī sañgati krai so taisā phal khaay
'kabir' man panchhi bhya bhawai tahwan jai
jo jaisi sangati krai so taisa phal khay
ham tumhrī sumiran karin tum mohiñ chitāvau nāhiñ
sumirān man kī prīti hai so man tumhīñ māhiñ
hum tumhri sumiran karin tum mohin chitawau nahin
sumiran man ki priti hai so man tumhin mahin
prem piyāre laal soñ man de kījai bhaav
satgurū ke parsād se bhalā banā hai daav
prem piyare lal son man de kijai bhaw
satguru ke parsad se bhala bana hai daw
piir purānī birah kī pinjar piir na jaai
ek piir hai prīti kī rahī kaleje chhāy
pir purani birah ki pinjar pir na jai
ek pir hai priti ki rahi kaleje chhay
sab ghaT merā sā.iyāñ suunī sej na koy
balihārī vā-ghaTT kī jā-ghaT par-gaT hoai
sab ghaT mera saiyan suni sej na koy
balihaari wa-ghaTT ki ja-ghaT par-gaT hoai
nain hamāre bāvre chhin chhin loḌai tujh
nā tum milo na maiñ sukhī aisī bedan mujh
nain hamare bawre chhin chhin loDai tujh
na tum milo na main sukhi aisi bedan mujh
aayā bagūla prem kā tinkā uḌā akaas
tinkā tinkā se milā tinkā tinke paas
aaya bagula prem ka tinka uDa akas
tinka tinka se mila tinka tinke pas
jo ye ekai jāniyā tau jānau sab jaan
jo ye ek na jāniyā tau sabhī jaan ajaan
jo ye ekai jaaniya tau jaanau sab jaan
jo ye ek na jaaniya tau sabhi jaan ajaan