Ashaar of Behzad Lakhnavi
ḳhushī mahsūs kartā huuñ na ġham mahsūs kartā huuñ
magar haañ dil meñ kuchh kuchh zer-o-bam mahsūs kartā huuñ
ḳhushī mahsūs kartā huñ na ġham mahsūs kartā huñ
magar hañ dil meñ kuchh kuchh zer-o-bam mahsūs kartā huñ
tire ishq meñ zindagānī luTā dī
ajab khel khelā javānī luTā dī
tere ishq meñ zindagānī luTā dī
ajab khel khelā jawānī luTā dī
ḳhushī mahsūs kartā huuñ na ġham mahsūs kartā huuñ
magar haañ dil meñ kuchh kuchh zer-o-bam mahsūs kartā huuñ
ḳhushī mahsūs kartā huñ na ġham mahsūs kartā huñ
magar hañ dil meñ kuchh kuchh zer-o-bam mahsūs kartā huñ
un ko but samjhā thā yā un ko ḳhudā samjhā thā maiñ
haañ batā de ai jabīn-e-shauq kyā samjhā thā maiñ
un ko but samjhā thā yā un ko ḳhudā samjhā thā maiñ
hañ batā de ai jabīn-e-shauq kyā samjhā thā maiñ
ham ne to ġham ko siine se apne lagā liyā
ġham ne hameñ shikār kiyā haa.e kyā kiyā
hum ne to ġham ko sine se apne lagā liyā
ġham ne hameñ shikār kiyā hae kyā kiyā
un ke sitam bhī sah ke na un se kiyā gila
kyuuñ jabr iḳhtiyār kiyā haa.e kyā kiyā
un ke sitam bhī sah ke na un se kiyā gila
kyuñ jabr iḳhtiyār kiyā hae kyā kiyā
un ko but samjhā thā yā un ko ḳhudā samjhā thā maiñ
haañ batā de ai jabīn-e-shauq kyā samjhā thā maiñ
un ko but samjhā thā yā un ko ḳhudā samjhā thā maiñ
hañ batā de ai jabīn-e-shauq kyā samjhā thā maiñ
tumhīñ par se 'bahzād' ne be-ḳhudī meñ
kyā dil tasadduq javānī luTā dī
tumhīñ par se 'bahzād' ne be-ḳhudī meñ
kyā dil tasadduq jawānī luTā dī
ye dil meñ hai jo ghabrāhaT ye āñkhoñ meñ hai jo aañsū
is ehsāñ ko bhī bālā-e-karam mahsūs kartā huuñ
ye dil meñ hai jo ghabrāhaT ye āñkhoñ meñ hai jo aañsū
is ehsāñ ko bhī bālā-e-karam mahsūs kartā huñ
qismat ne aah ham ko ye din bhī dikhā diye
qismat pe e'tibār kiyā haa.e kyā kiyā
qismat ne aah hum ko ye din bhī dikhā diye
qismat pe e'tibār kiyā hae kyā kiyā
sayyād kī razā ye ham aañsū na pī sake
uzr-e-ġham-bahār kiyā haa.e kyā kiyā
sayyād kī razā ye hum aañsū na pī sake
uzr-e-ġham-bahār kiyā hae kyā kiyā
miTne kā ġham nahīñ hai bas itnā malāl hī
kyuuñ terā intizār kiyā haa.e kyā kiyā
miTne kā ġham nahīñ hai bas itnā malāl hī
kyuñ terā intizār kiyā hae kyā kiyā
kāfir kī chashm-e-nāz pe kyā dil-jigar kā zikr
īmān tak nisār kiyā haa.e kyā kiyā
kāfir kī chashm-e-nāz pe kyā dil-jigar kā zikr
īmān tak nisār kiyā hae kyā kiyā
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere