Ashaar of Kausar Warsi
ġhair jab tak na nikal jā.egā mahfil se tirī
ham na rakheñge tirī bazm meñ zinhār qadam
ghair jab tak na nikal jaega mahfil se teri
hum na rakhenge teri bazm mein zinhaar qadam
dil diyā jaan dī ḳhudā tū ne
terā ehsān ek ho to kahūñ
dil diya jaan di KHuda tu ne
tera ehsan ek ho to kahun
ba-ḳhudā qabr kī ho jā.egī mushkil āsāñ
saath lāsha ke chaleñge jo vo do-chār qadam
ba-KHuda qabr ki ho jaegi mushkil aasan
sath lasha ke chalenge jo wo do-chaar qadam
jhūTe va.ade tū rose kartā hai
terā īmān ek ho to kahūñ
jhuTe wade tu rose karta hai
tera iman ek ho to kahun
maiñ ḳhafā ho ke jab uThā to vo bole 'kausar'
fitna-e-hashr ne chūme dam-e-raftār qadam
main KHafa ho ke jab uTha to wo bole 'kausar'
fitna-e-hashr ne chume dam-e-raftar qadam
pūchhte haiñ vo aarzū 'kausar'
dil meñ armāñ ek ho to kahūñ
puchhte hain wo aarzu 'kausar'
dil mein arman ek ho to kahun
dil diyā jaan dī ḳhudā tū ne
terā ehsān ek ho to kahūñ
dil diya jaan di KHuda tu ne
tera ehsan ek ho to kahun
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere