Ashaar of Mirza Fida Ali Shah Manan
ḳhudā bhī usī kī taraf hogā beshak
qayāmat meñ kiyā jaane se hāsil
KHuda bhi usi ki taraf hoga beshak
qayamat mein kiya jaane se hasil
aish-o-ishrat vasl-o-rāhat sab ḳhushī meñ sharīk
be-kasī meñ aah koī pūchhne vaalā nahīñ
aish-o-ishrat wasl-o-rahat sab KHushi mein sharik
be-kasi mein aah koi puchhne wala nahin
kiyūñ gul-e-āriz pe tumne zulf bikhrā.ī nahīñ
chashma-e-ḳhurshīd meñ kiyūñ saañp lahrāyā nahīñ
kiyun gul-e-ariz pe tumne zulf bikhrai nahin
chashma-e-KHurshid mein kiyun sanp lahraya nahin
kūcha-e-qātil meñ jākar haath se rakhhe tujhe
o dil-e-be-tāb hamne isliye paalā nahīñ
kucha-e-qatil mein jakar hath se rakhhe tujhe
o dil-e-be-tab hamne isliye pala nahin
vahm hai shak hai gumāñ hai baal se bārīk hai
is se behtar aur mazmūn-e-kamar miltā nahīñ
wahm hai shak hai guman hai baal se barik hai
is se behtar aur mazmun-e-kamar milta nahin
chashm nargis ban ga.ī hai ishtiyāq-e-dīd meñ
kaun kahtā hai ki gulshan meñ tirā charchā nahīñ
chashm nargis ban gai hai ishtiyaq-e-did mein
kaun kahta hai ki gulshan mein tera charcha nahin
hashr ke din imtihāñ pesh-e-ḳhudā doño kā hai
lutf hai unkī jafā merī vafā se kam rahe
hashr ke din imtihan pesh-e-KHuda dono ka hai
lutf hai unki jafa meri wafa se kam rahe
vaqt-e-ārā.ish jo kī ā.īna per usne nazar
husn ḳhud kahne lagā is se hasīñ dekhā nahīñ
waqt-e-araish jo ki aaina per usne nazar
husn KHud kahne laga is se hasin dekha nahin
ḳhūn-e-nāhaq kī shahādat ke liye kaafī hai ye
dāman-e-qātil pe jo dhabbe lahū ke jam rahe
KHun-e-nahaq ki shahadat ke liye kafi hai ye
daman-e-qatil pe jo dhabbe lahu ke jam rahe
vo zālim hai be-dard saffāk qātil
use dard-e-dil kā sunāne se hāsil
wo zalim hai be-dard saffak qatil
use dard-e-dil ka sunane se hasil
sāmne mere hī vo jaate haiñ bazm-e-ġhair meñ
al-madad ai zabt mujh ko kab tak us kā ġham rahe
samne mere hi wo jate hain bazm-e-ghair mein
al-madad ai zabt mujh ko kab tak us ka gham rahe
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere