Ashaar of Bekhud Suhrawardi
'ayāz' ik besh-qīmat sā tujhe nukta batātā huuñ
tum apne aapko samjho ḳhudā kiyā hai ḳhudā jaane
'ayaz' ek besh-qimat sa tujhe nukta batata hun
tum apne aapko samjho KHuda kiya hai KHuda jaane
zindagī ko bech Daalā be-ḳhudī ke jaam per
ek hī sāġhar se dil kī tishnagī jaatī rahī
zindagi ko bech Dala be-KHudi ke jam per
ek hi saghar se dil ki tishnagi jati rahi
ḳhushī se choT khāne kā mazā yā kaif-e-jāñ-sozī
koī jāñ-soz pervāva yā koī dil-jalā jaane
KHushi se choT khane ka maza ya kaif-e-jaan-sozi
koi jaan-soz perwawa ya koi dil-jala jaane
rind huuñ ba-ḳhudā magar be-ḳhud huuñ be-ḳhudā nahīñ
tum hī mere ho peshvā yaanī ki nā-ḳhudā bhī tum
rind hun ba-KHuda magar be-KHud hun be-KHuda nahin
tum hi mere ho peshwa yani ki na-KHuda bhi tum
laboñ per naam na aañsū hikāyat na shikāyat ho
asīr-e-zulf dīvāna hai dīvānā ye kiyā jaane
labon per nam na aansu hikayat na shikayat ho
asir-e-zulf diwana hai diwana ye kiya jaane
laboñ per naam na aañsū hikāyat na shikāyat ho
asīr-e-zulf dīvāna hai dīvānā ye kiyā jaane
labon per nam na aansu hikayat na shikayat ho
asir-e-zulf diwana hai diwana ye kiya jaane
jab tak ek hasīñ makīñ thā dil meñ har-sū phuul khile the
vo ujḌa to gulshan ujḌā aur havā ābād nahīñ hai
jab tak ek hasin makin tha dil mein har-su phul khile the
wo ujDa to gulshan ujDa aur hawa aabaad nahin hai
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere