Ashaar of Jigar Warsi
dāvar-e-hashr ye hai hashr meñ armāñ mujh ko
badle jannat ke mile kūcha-e-jānāñ mujh ko
dāwar-e-hashr ye hai hashr meñ armāñ mujh ko
badle jannat ke mile kūcha-e-jānāñ mujh ko
jis taraf kūcha-e-qātil meñ guzar hotā hai
nazar aate haiñ udhar maut ke sāmāñ mujh ko
jis taraf kucha-e-qatil mein guzar hota hai
nazar aate hain udhar maut ke saman mujh ko
raat ko be-ḳhabar rahe aap to ḳhvāb-e-nāz meñ
niiñd na aa.ī sub.h tak ham ko shab-e-darāz meñ
raat ko be-KHabar rahe aap to KHwab-e-naz mein
nind na aai subh tak hum ko shab-e-daraaz mein
dekh kar āsmāñ ko ham to zamīñ meñ gaḌ ga.e
jab na kahīñ jagah milī aap kī bazm-e-nāz meñ
dekh kar aasman ko hum to zamin mein gaD gae
jab na kahin jagah mili aap ki bazm-e-naz mein
aur kisī kā nuur hai us mah-e-dil-navāz meñ
aks ko dekh be-ḳhabar ā.īna-e-majāz meñ
aur kisi ka nur hai us mah-e-dil-nawaz mein
aks ko dekh be-KHabar aaina-e-majaz mein
fātiha paḌhte rahe hañste rahe rote rahe
qabr par aa kar unhoñne qaul puurā kar diyā
fatiha paDhte rahe hanste rahe rote rahe
qabr par aa kar unhonne qaul pura kar diya
saath merā terā ai ā.īna rahtā thā
vo bhī din yaad haiñ jab sāmne tū rahtā thā
sath mera tera ai aaina rahta tha
wo bhi din yaad hain jab samne tu rahta tha
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere