ALL
Profile
Kalaam12
Naat-o-Manqabat37
Ghazal71
E-book21
Persian Sufi Poetry13
Salam1
sher22
Video9
Chadar1
Holi1
blog4
Qita9
Bait11
Basant2
Rubai92
Mukhammas1
Ashaar of Shah Akbar Danapuri
ishq meñ āshiq kī ye me.arāj hai
qatl ho qātil kā muñh dekhā kare
ishq mein aashiq ki ye mearaj hai
qatl ho qatil ka munh dekha kare
kis ghar meñ kis hijāb meñ ai jaañ nihāñ ho tum
ham raah dekhte haiñ tumhārī kahāñ ho tum
kis ghar mein kis hijab mein ai jaan nihan ho tum
hum rah dekhte hain tumhaari kahan ho tum
rañg-e-gul phīkā hai jis ke sāmne
itnā rañgīñ yaar kā ruḳhsār hai
rang-e-gul phika hai jis ke samne
itna rangin yar ka ruKHsar hai
kare chāroñ taraf se kyuuñ na us ko āsmāñ sajde
zamīñ ko faḳhr hāsil hai rasūlallāh kī marqad kā
kare chaaron taraf se kyun na us ko aasman sajde
zamin ko faKHr hasil hai rasulallah ki marqad ka
mar miTe teri mohabbat meñ mohabbat vaale
un pe rashk aatā hai ye log haiñ qismat vaale
mar miTe teri mohabbat mein mohabbat wale
un pe rashk aata hai ye log hain qismat wale
haiñ shauq-e-zab.h meñ āshiq taḌapte murġh-e-bismil se
ajal to hai zarā kah aanā ye paiġhām qātil se
hain shauq-e-zabh mein aashiq taDapte murgh-e-bismil se
ajal to hai zara kah aana ye paigham qatil se
bhūlegā na ai 'akbar' ustād kā ye misra.a
saaqī diye jā sāġhar jab tak na ho be-hoshī
bhulega na ai 'akbar' ustad ka ye misra
saqi diye ja saghar jab tak na ho be-hoshi
yā-ḳhudā 'akbar' kī kashtī ko nikāl
tū hī is beḌe kā khevan-hār hai
ya-KHuda 'akbar' ki kashti ko nikal
tu hi is beDe ka khewan-haar hai
dekheñ ḳhush ho ke na kyuuñ aap tamāshā apnā
ā.īna apnā hai aks apnā hai jalva apnā
dekhen KHush ho ke na kyun aap tamasha apna
aaina apna hai aks apna hai jalwa apna
muñh phere hue to mujh se jaatā hai kahāñ
mar jā.egā āshiq tirā aare aare
munh phere hue to mujh se jata hai kahan
mar jaega aashiq tera aare aare
yā-ḳhudā 'akbar' kī kashtī ko nikāl
tū hī is beḌe kā khevan-hār hai
ya-KHuda 'akbar' ki kashti ko nikal
tu hi is beDe ka khewan-haar hai
hāzir hai bazm-e-yār meñ sāmān-e-aish sab
ab kis kā intizār hai 'akbar' kahāñ ho tum
hazir hai bazm-e-yar mein saman-e-aish sab
ab kis ka intizar hai 'akbar' kahan ho tum
piirī ne bharā hai phir javānī kā ruup
āshiq hue ham ek but-e-kam-sin ke
piri ne bhara hai phir jawani ka rup
aashiq hue hum ek but-e-kam-sin ke
musalmāñ donoñ phir bāham nifāq aah
kidhar DhūñDheñ tujhe ai ittifāq aah
musalman donon phir baham nifaq aah
kidhar DhunDhen tujhe ai ittifaq aah
haiñ shauq-e-zab.h meñ āshiq taḌapte murġh-e-bismil se
ajal to hai zarā kah aanā ye paiġhām qātil se
hain shauq-e-zabh mein aashiq taDapte murgh-e-bismil se
ajal to hai zara kah aana ye paigham qatil se
ishq meñ āshiq kī ye me.arāj hai
qatl ho qātil kā muñh dekhā kare
ishq mein aashiq ki ye mearaj hai
qatl ho qatil ka munh dekha kare
ba-juz āvāz zanjīr-e-girāñ kuchh ḳhush nahīñ aatā
yahāñ tak bhar ga.e haiñ kaan āvāz-e-salāsil se
ba-juz aawaz zanjir-e-giran kuchh KHush nahin aata
yahan tak bhar gae hain kan aawaz-e-salasil se
dahan hai chhoTā kamar hai patlī suDaul baazū jamāl achchhā
tabī.at apnī bhī hai maze kī pasand achchhī ḳhayāl achchhā
dahan hai chhoTa kamar hai patli suDaul bazu jamal achchha
tabiat apni bhi hai maze ki pasand achchhi KHayal achchha
na kamar us kī nazar aa.e sābit ho dahan
guftugū us meñ abas us meñ hai takrār abas
na kamar us ki nazar aae sabit ho dahan
guftugu us mein abas us mein hai takrar abas
koī rashk-e-gulistāñ hai to koī ġhairat-e-gulshan
hue kyā kyā hasīñ gulcharra paidā āb-o-gil se
koi rashk-e-gulistan hai to koi ghairat-e-gulshan
hue kya kya hasin gulcharra paida aab-o-gil se
ہم سے پھر جائے زمانہ بھی تو کیا ہوتا ہے
دل ہے مضبوط فقیروں کا خدا ہوتا ہے
رند بھی اکبرؔ ہے صوفی بھی ہے عاشق وضع بھی
کہتے ہیں اربابِ معنی میرا دیواں دیکھ کر
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere