Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama
Sulaiman Shikoh Gardner's Photo'

Sulaiman Shikoh Gardner

1828 - 1904 | Etah, India

Ashaar of Sulaiman Shikoh Gardner

kyā ġham jo TuuuT jaa.en jigar jaañ kaleja dil

per terī chaah na tamannā shikast ho

kya gham jo TuuT jaen jigar jaan kaleja dil

per teri chah ki na tamanna shikast ho

sūrat-numā ho ishq tirā phir kahāñ agar

ā.īna-e-jmāl-e-sarāpā shikasht ho

surat-numa ho ishq tera phir kahan agar

aaina-e-jmal-e-sarapa shikasht ho

nāz-e-gul shahīd hai jo 'fanā'

qabr per gulruḳhoñ melā hai

naz-e-gul ka shahid hai jo 'fana'

qabr per gulruKHon ka mela hai

Duubī jaatī hai naav hastī

mauj-e-giryā zor relā hai

Dubi jati hai naw hasti ki

mauj-e-girya ka zor rela hai

nāz-e-gul shahīd hai jo 'fanā'

qabr per gulruḳhoñ melā hai

naz-e-gul ka shahid hai jo 'fana'

qabr per gulruKHon ka mela hai

beshak ḳhudā bane ja 'fanā' toḌe abdiyat

ḳhud-bīniyoñ apnī jo paayā shikast ho

beshak KHuda bane ja 'fana' toDe abdiyat

KHud-biniyon ka apni jo paya shikast ho

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Recitation

Speak Now