Ashaar of Zaki Warsi
ḳhushī se vo hamārī har ḳhushī pāmāl kar Dāleñ
jahāñ tak hai ḳhushī un kī vahāñ tak hai ḳhushī apnī
KHushi se wo hamari har KHushi pamal kar Dalen
jahan tak hai KHushi un ki wahan tak hai KHushi apni
yās-o-ummīd yuuñ rahīñ rāh-e-talab meñ saath saath
chaar qadam haTā diyā chaar qadam baḌhā diyā
yas-o-ummid yun rahin rah-e-talab mein sath sath
chaar qadam haTa diya chaar qadam baDha diya
ye ġham ye hichkiyāñ ye ashk-e-paiham chiiz hī kyā haiñ
bahut hī Thokareñ khilvā.egī dīvāngī apnī
ye gham ye hichkiyan ye ashk-e-paiham chiz hi kya hain
bahut hi Thokaren khilwaegi diwangi apni
nazar-afzoī-e-sham-e-tajallī ai zahe-qismat
kahāñ bazm-e-jamāl un kī kahāñ parvāngī apnī
nazar-afzoi-e-sham-e-tajalli ai zahe-qismat
kahan bazm-e-jamal un ki kahan parwangi apni
vo hai idhar 'itāb meñ dil hai udhar ’azāb meñ
zauq-e-talab ne kiyūñ mujhe jalva-e-iltijā diyā
wo hai idhar 'itab mein dil hai udhar ’azab mein
zauq-e-talab ne kiyun mujhe jalwa-e-iltija diya
dekh ke be-ḳhudī mirī aaj vo muskurā diyā
ishq-e-junūñ-mizāj ne husn ko gudgudā diyā
dekh ke be-KHudi meri aaj wo muskura diya
ishq-e-junun-mizaj ne husn ko gudguda diya
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere