Ashaar of Kaifi Hyderabadi
mujh ko tāḳhīr kā shikva nahīñ haañ aur suno
ā.īna terā hai zulfeñ terī shānā terā
mujh ko taKHir ka shikwa nahin han aur suno
aaina tera hai zulfen teri shana tera
sāz-o-sāmāñ haiñ merī ye be-sar-o-sāmāniyāñ
bāġh-e-jannat se bhī achchhā hai ye vīrāna mirā
saz-o-saman hain meri ye be-sar-o-samaniyan
bagh-e-jannat se bhi achchha hai ye virana mera
kūcha-e-qātil meñ mujh ko gher kar laa.ī hai ye
jiite jī jannat meñ pahuñchā de qazā aisī to ho
kucha-e-qatil mein mujh ko gher kar lai hai ye
jite ji jannat mein pahuncha de qaza aisi to ho
ham meñ aur un meñ mohabbat yā-ḳhudā aisī to ho
jo sune vo bol uTThe mehr-o-vafā aisī to ho
hum mein aur un mein mohabbat ya-KHuda aisi to ho
jo sune wo bol uTThe mehr-o-wafa aisi to ho
dil churāyā hai mirā kis ne ḳhudā hī jaane
naam letā hai koī be-adbāna terā
dil churaya hai mera kis ne KHuda hi jaane
nam leta hai koi be-adbana tera
kūcha-e-qātil meñ mujh ko gher kar laa.ī hai ye
jiite jī jannat meñ pahuñchā de qazā aisī to ho
kucha-e-qatil mein mujh ko gher kar lai hai ye
jite ji jannat mein pahuncha de qaza aisi to ho
mahakne ko gul-e-dāġh-e-mohabbat dil meñ hai apne
khaTakne ko hai ḳhār-e-hasrat-e-dīdār āñkhoñ meñ
mahakne ko gul-e-dagh-e-mohabbat dil mein hai apne
khaTakne ko hai KHar-e-hasrat-e-didar aankhon mein
rind pī-pī ke gale milte haiñ kyā ek se ek
'iid kā din hai ki ahl-e-ḳharābāt kī raat
rind pi-pi ke gale milte hain kya ek se ek
'id ka din hai ki ahl-e-KHarabaat ki raat
ai zahe tāle'-e-bedār ki ham-ḳhvāb hai vo
maiñ to us raat ko samjhā huuñ karāmāt kī raat
ai zahe tale'-e-bedar ki ham-KHwab hai wo
main to us raat ko samjha hun karamat ki raat
milā kar aañkh dil lenā hai baa.eñ haath kā kartab
sivā is ke bhare haiñ be-shumār asrār āñkhoñ meñ
mila kar aankh dil lena hai baen hath ka kartab
siwa is ke bhare hain be-shumar asrar aankhon mein
dil-e-be-tāb sambhal ḳhauf hai rusvā.ī kā
haal dekhe na koī muztaribāna terā
dil-e-be-tab sambhal KHauf hai ruswai ka
haal dekhe na koi muztaribana tera
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere