Ashaar of Aziz Safipuri
mujhe ishq ne ye patā diyā ki na hijr hai na visāl hai
usī zaat kā maiñ zuhūr huuñ ye jamāl usī kā jamāl hai
mujhe ishq ne ye pata diya ki na hijr hai na visal hai
usi zat ka main zuhur hun ye jamal usi ka jamal hai
adab se sar jhukā kar qāsid us ke rū-ba-rū jaanā
nihāyat shauq se kahnā payām āhista āhista
adab se sar jhuka kar qasid us ke ru-ba-ru jaana
nihayat shauq se kahna payam aahista aahista
maiñ fida-e-murshid-e-pāk huuñ dar-e-bārgāh kī ḳhaak huuñ
vo samā ke mujh meñ ye kahte haiñ ki 'azīz' ġhair-muhāl hai
main fida-e-murshid-e-pak hun dar-e-bargah ki KHak hun
wo sama ke mujh mein ye kahte hain ki 'aziz' ghair-muhaal hai
maraz-e-ishq muhālast ki pinhāñ mānad
aah gar zabt kunam ashk-e-ravāñ rā che ilaaj
maraz-e-ishq muhaalast ki pinhan manad
aah gar zabt kunam ashk-e-rawan ra che ilaj
koī hai momin koī hai tarsā ḳhudā kī bāteñ ḳhudā hī jaane
ajab tarah kā hai ye tamāsha ḳhudā kī bāteñ ḳhudā hī jaane
koi hai momin koi hai tarsa KHuda ki baaten KHuda hi jaane
ajab tarah ka hai ye tamasha KHuda ki baaten KHuda hi jaane
bas vahī paatā hai aish-e-zindagī
jis ko ġham meñ mubtalā kartā hai ishq
bas wahi pata hai aish-e-zindagi
jis ko gham mein mubtala karta hai ishq
na pūchho be-niyāzī aah tarz-e-imtihāñ dekho
milā.ī ḳhaak meñ hañs hañs ke merī aabrū barsoñ
na puchho be-niyazi aah tarz-e-imtihan dekho
milai KHak mein hans hans ke meri aabru barson
koī kyā samjhe ki kyā kartā hai ishq
har dam ik fitna bapā kartā hai ishq
koi kya samjhe ki kya karta hai ishq
har dam ek fitna bapa karta hai ishq
āġhāz tū hai anjām tū hai īmān tū hī islām tū hai
hai tujh pe 'azīz-e-ḳhasta fidā ai nūr-e-mohammad sallallāh
aaghaz tu hai anjam tu hai iman tu hi islam tu hai
hai tujh pe 'aziz-e-KHasta fida ai nur-e-mohammad sallallah
ishq rā bā-husn yakjā karda-and
turfa-sāmāne muhayyā karda-and
ishq ra ba-husn yakja karda-and
turfa-samane muhayya karda-and
sikhā.ī naaz ne qātil ko bedardī kī ḳhū barsoñ
rahī betāb siina meñ hamārī aarzū barsoñ
sikhai naz ne qatil ko bedardi ki KHu barson
rahi betab sina mein hamari aarzu barson
vasl ain duurī hai be-ḳhudī zarūrī hai
kuchh bhī kah nahīñ saktā mājrā judā.ī kā
wasl ain duri hai be-KHudi zaruri hai
kuchh bhi kah nahin sakta majra judai ka
vasl ain duurī hai be-ḳhudī zarūrī hai
kuchh bhī kah nahīñ saktā mājrā judā.ī kā
wasl ain durī hai be-ḳhudī zarūrī hai
kuchh bhī kah nahīñ saktā mājrā judāī kā
sikhā.ī naaz ne qātil ko bedardī kī ḳhū barsoñ
rahī betāb siina meñ hamārī aarzū barsoñ
sikhai naz ne qatil ko bedardi ki KHu barson
rahi betab sina mein hamari aarzu barson
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere