Ashaar of Bahram ji
masnad-e-kimḳhvāb shāhāñ ko kahāñ hāsil ye qadr
manzilat tere gadāon kī jo ḳhākastar meñ hai
masnad-e-kimKHwab shahan ko kahan hasil ye qadr
manzilat tere gadaon ki jo KHakastar mein hai
qaidī-e-zulf kabhī gaah asīr-e-gesū
hamne is dil ko isī tarah kā saudā dekhā
qaidi-e-zulf kabhi gah asir-e-gesu
hamne is dil ko isi tarah ka sauda dekha
ārzū-e-dīn-o-duniyā ab nahīñ ‘bahrām’ kuchh
per mirā nikle ummīd-e-rahmat-e-yazdāñ meñ dam
aarzu-e-din-o-duniya ab nahin ‘bahram’ kuchh
per mera nikle ummid-e-rahmat-e-yazdan mein dam
sarv-e-gulshan ho sanober ho ki ho fitna-e-hashr
sach to ye hia ki ġhazab vo qad-e-bālā dekhā
sarw-e-gulshan ho sanober ho ki ho fitna-e-hashr
sach to ye hia ki ghazab wo qad-e-baala dekha
us ke nazzāre kī ho kaise dil-e-insāñ ko taab
jalva-e-zāt-e-ḳhudā tere ruḳh-e-anvar meñ hai
us ke nazzare ki ho kaise dil-e-insan ko tab
jalwa-e-zat-e-KHuda tere ruKH-e-anwar mein hai
haiñ ḳhajil qaus-o-hilāl-o-ḳhanjar-o-teġh-e-sitam
qātil-e-ālam hai terī abrū-e-pur-ḳham nahīñ
hain KHajil qaus-o-hilal-o-KHanjar-o-tegh-e-sitam
qatil-e-alam hai teri abru-e-pur-KHam nahin
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere