Ashaar of Hairat Shah Warsi
fasl-e-bahār meñ to qaid-e-qafas meñ guzrī
chhūTe jo ab qafas se to mausam-e-ḳhizāñ hai
fasl-e-bahaar mein to qaid-e-qafas mein guzri
chhuTe jo ab qafas se to mausam-e-KHizan hai
mirī 'hairat' mohabbat ho mohabbat aap kī 'hairat'
yahī ā.īna-dārī āḳhirash roz-e-yaqīñ aa.e
meri 'hairat' mohabbat ho mohabbat aap ki 'hairat'
yahi aaina-dari aaKHirash roz-e-yaqin aae
dil meñ jo rahte the ummīd kī duniyā ho kar
vo chale jaate haiñ kyuuñ dāġh-e-tamannā ho kar
dil mein jo rahte the ummid ki duniya ho kar
wo chale jate hain kyun dagh-e-tamanna ho kar
muddat meñ jalva-gar hue bālā-e-bām vo
us chāñd ko maiñ dekhūñ ki dekhūñ qamar ko maiñ
muddat mein jalwa-gar hue baala-e-baam wo
us chand ko main dekhun ki dekhun qamar ko main
siine meñ ban ke hasrat ik tiir be-kamāñ hai
jab tak rahe ye dil meñ insān nīm-jāñ hai
sine mein ban ke hasrat ek tir be-kaman hai
jab tak rahe ye dil mein insan nim-jaan hai
'hairat' ki tujh ko hairat-e-dīdār ho nasīb
aa dekh le tū shān-e-ḳhudā husn-e-yār meñ
'hairat' ki tujh ko hairat-e-didar ho nasib
aa dekh le tu shan-e-KHuda husn-e-yar mein
bas meñ tire zamīñ hai qabze meñ āsmāñ hai
ai do-jahāñ ke mālik merā nishāñ kahāñ hai
bas mein tere zamin hai qabze mein aasman hai
ai do-jahan ke malik mera nishan kahan hai
har zarra us kī manzil sahrā ho yā ho gulshan
kyuuñ be-nishāñ rahe vo terā jo be-nishāñ hai
har zarra us ki manzil sahra ho ya ho gulshan
kyun be-nishan rahe wo tera jo be-nishan hai
kashtī-e-umr mirī ġham ke hai tūfāñ meñ ghirī
khīñch lo ab use dariyā kā kinārā ho kar
kashti-e-umr meri gham ke hai tufan mein ghiri
khinch lo ab use dariya ka kinara ho kar
qismat kī nā-rasā.iyāñ ba.ad-e-fanā rahīñ
mar ke bhī dafn ho na sakā kū-e-yār meñ
qismat ki na-rasaiyan baad-e-fana rahin
mar ke bhi dafn ho na saka ku-e-yar mein
mere aaqā mere murshid 'bedam'-e-alī-janāb
dar-haqīqat āsmān-e-vārsī ke āftāb
mere aaqa mere murshid 'bedam'-e-ali-janab
dar-haqiqat aasman-e-warsi ke aaftab
merā ghar ghar nahīñ tum bin ye siyah-ḳhāna hai
ab siyah-ḳhāne meñ aa jaao ujālā ho kar
mera ghar ghar nahin tum bin ye siyah-KHana hai
ab siyah-KHane mein aa jao ujala ho kar
aap kī tasvīr har-dam dil se ham-āġhosh hai
ya.anī vo behosh huuñ qurbān jis par hosh hai
aap ki taswir har-dam dil se ham-aghosh hai
yani wo behosh hun qurban jis par hosh hai
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere