Ashaar of Imdad Ali Ulvi
jise dekhā yahāñ hairān dekhā
ye kaise ā.īna-ḳhāna banāyā
jise dekha yahan hairan dekha
ye kaise aaina-KHana banaya
jaan dī bulbuloñ ne jab gul per
tab vo gulzār meñ nazar aa.yā
jaan di bulbulon ne jab gul per
tab wo gulzar mein nazar aaya
aap dekhā us ne apne aap ko
ham ko ā.īna banāyā yaar ne
aap dekha us ne apne aap ko
hum ko aaina banaya yar ne
miT jaa.e apnī hastī-e-mauhūm ġham hai kyā
ho dil ko tirā ġham koī ho ho na ho na ho
miT jae apni hasti-e-mauhum gham hai kya
ho dil ko tera gham koi ho ho na ho na ho
gah yaar banā gaah banā sūrat-e-aġhyār
apnā hī banā ā.īna apnā hī prastār
gah yar bana gah bana surat-e-aghyar
apna hi bana aaina apna hi prastar
har aañkh kī til meñ hai ḳhudā.ī kā tamāsha
har ġhuncha meñ gulshan hai har ik zarrā meñ sahrā
har aankh ki til mein hai KHudai ka tamasha
har ghuncha mein gulshan hai har ek zarra mein sahra
DhūñDhe asrār-e-ḳhudā dil ne jo añdhā ban kar
rah gayā aap hī pahlū meñ muamma ban kar
DhunDhe asrar-e-KHuda dil ne jo andha ban kar
rah gaya aap hi pahlu mein muamma ban kar
jab talak merī ḳhudī baaqī rahī sab kuchh thā
rah gayā phir to faqat nām-e-ḳhudā mere bad
jab talak meri KHudi baqi rahi sab kuchh tha
rah gaya phir to faqat nam-e-KHuda mere bad
ulvī ko ze bas thā ḳhauf-e-ġhinā kahā yaar ne bā-hamā lutf-o-atā
kiyūñ Dartā hai aa āġhaush meñ aa tū aur nahīñ main aur nahīñ
ulwi ko ze bas tha KHauf-e-ghina kaha yar ne ba-hama lutf-o-ata
kiyun Darta hai aa aaghaush mein aa tu aur nahin main aur nahin
mujh se avval na thā kuchh dahr meñ juz zāt-e-ḳhudā
ġhair-e-haq dekhā to phir kuchh na rahā mere bad
mujh se awwal na tha kuchh dahr mein juz zat-e-KHuda
ghair-e-haq dekha to phir kuchh na raha mere bad
pilā.e ḳhum pe ḳhum ehsān dekho
mujhe saaqī ne ḳhumḳhānā banāyā
pilae KHum pe KHum ehsan dekho
mujhe saqi ne KHumKHana banaya
ulvī ko ze bas thā ḳhauf-e-ġhinā kahā yaar ne bā-hamā lutf-o-atā
kiyūñ Dartā hai aa āġhaush meñ aa tū aur nahīñ main aur nahīñ
ulwi ko ze bas tha KHauf-e-ghina kaha yar ne ba-hama lutf-o-ata
kiyun Darta hai aa aaghaush mein aa tu aur nahin main aur nahin
kashtī meñ dariyā dariyā meñ kashtī siflī meñ ulvī ulvī meñ siflī
tūfāñ meñ maujeñ maujoñ meñ yam hai jaane so dekhe dekhe
kashti mein dariya dariya mein kashti sifli mein ulwi ulwi mein sifli
tufan mein maujen maujon mein yam hai jaane so dekhe dekhe
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere