Ashaar of Turab Ali Dakni
chaturbhuj naam hai us kā ki jis ko vasudev kahte
chhabelī chhab o dāmodar kī tirbhañgī pyārī hai
chaturbhuj nam hai us ka ki jis ko wasudew kahte
chhabeli chhab o damodar ki tirbhangi pyari hai
gunah kuchh hor bhī karnā to kar le aarzū mat rakh
nahīñ tere gunāhāñ kuuñ to kachchā hadd-o-shumār āḳhir
gunah kuchh hor bhi karna to kar le aarzu mat rakh
nahin tere gunahan kun to kachcha hadd-o-shumar aaKHir
misr señ le kar ḳhabar yūsuf kī jo qāsid gayā
dīda-e-yāqūb raushan bū-e-pairāhan kiyā
misr sen le kar KHabar yūsuf ki jo qasid gaya
dida-e-yaqub raushan bu-e-pairahan kiya
bevafā.ī un siyah-chashmāñ kī dekhā jab satī
misl-e-ā.īna ho hairāñ dil hai sargardāñ mirā
bewafai un siyah-chashman ki dekha jab sati
misl-e-aina ho hairan dil hai sargardan mera
tab huā iz.hār e.ajāz-e-asā-e-mūsavaī
jab o chob-e-nā-tarāshīdā ke ta.iiñ sohan kiyā
tab hua izhaar eajaz-e-asa-e-musawai
jab o chob-e-na-tarashida ke tain sohan kiya
asīr-e-kākul-e-ḳhamdār huuñ maiñ
giraftār-e-kamand-e-yār huuñ maiñ
asir-e-kakul-e-KHamdar hun main
giraftar-e-kamand-e-yar hun main
ḳhush nahīñ ifshā-e-rāz-e-dil-rubā pesh-e-umūm
hātif-e-ġhaibī mujhe iz.hār kahtā hai ki bol
KHush nahin ifsha-e-raaz-e-dil-ruba pesh-e-umum
hatif-e-ghaibi mujhe izhaar kahta hai ki bol
nahīñ yaaro ḳhudā hargiz tumhāre suñ judā haigā
jidhar dekhe udhar mamlū sadā nūr-e-ḳhudā haigā
nahin yaro KHuda hargiz tumhaare sun juda haiga
jidhar dekhe udhar mamlu sada nur-e-KHuda haiga
'turāb' hotā hai ashk-e-bārāñ apas meñ tuuñ bol rāz-dārāñ
har ek gulshan meñ nau-bahārāñ ghaḌī meñ kuchh hor ghaḌī meñ kuchh haiñ
'turab' hota hai ashk-e-baran apas mein tun bol raaz-daran
har ek gulshan mein nau-bahaaran ghaDi mein kuchh hor ghaDi mein kuchh hain
kiyā jo mujh taraf gul-rū nazar āhista āhista
vo pahuñchī bulbul-e-dil kuuñ ḳhabar āhista āhista
kiya jo mujh taraf gul-ru nazar aahista aahista
wo pahunchi bulbul-e-dil kun KHabar aahista aahista
'turāb'-e-āshiq-e-gesū-darāze
asīr-e-rishta-e-zunnār haigā
'turab'-e-ashiq-e-gesu-daraaze
asir-e-rishta-e-zunnar haiga
are dil misl-e-bulbul chup hamesha nāla-zan hai tuuñ
kahīñ gul-pairahan gul-rū kī paayā kuchh ḳhabar hai re
are dil misl-e-bulbul chup hamesha nala-zan hai tun
kahin gul-pairahan gul-ru ki paya kuchh KHabar hai re
dekhe jo yak-ba-yak gul-rū tumhārī be-hijābī ham
misāl-e-bulbul-e-shaidā ka.e apnī ḳharābī ham
dekhe jo yak-ba-yak gul-ru tumhaari be-hijabi hum
misal-e-bulbul-e-shaida kae apnī KHarabi hum
kar garebāñ chaak apnā gul namat bhuhīñ par girā
dard-e-dil bulbul sauñ sun kar o gul-e-ḳhandāñ mirā
kar gareban chaak apna gul namat bhuhin par gira
dard-e-dil bulbul saun sun kar o gul-e-KHandan mera
chalā aatā hai jo sayyād-e-zālim dām-e-gesū le
ki shāyad āhū-e-dil kuuñ karegā o shikār āḳhir
chala aata hai jo sayyaad-e-zalim dam-e-gesu le
ki shayad aahu-e-dil kun karega o shikar aaKHir
hamesha dāman-e-gul misl-e-shabnam
huā maskan mire tifl-e-nen kā
hamesha daman-e-gul misl-e-shabnam
hua maskan mere tifl-e-nen ka
na aayā kyā sabab ab alag rahā dil-e-intizār āḳhir
jahāñ hove vahāñ jā kar mujhne honā nisār āḳhir
na aaya kya sabab ab alag raha dil-e-intizar aaKHir
jahan howe wahan ja kar mujhne hona nisar aaKHir
are dil kyuuñ huā hai re abas tuuñ vahshī-e-dashtī
kisī āhū-nigāhāñ kī tuje achchhar kā chhar hai re
are dil kyun hua hai re abas tun wahshi-e-dashti
kisi aahu-nigahan ki tuje achchhar ka chhar hai re
dīda-e-bīnā-o-nābīnā ke ta.iiñ raushan kiyā
yak nigah meñ gulḳhan-e-vīrāñ kuuñ o gulshan kiyā
dida-e-bina-o-nabina ke tain raushan kiya
yak nigah mein gulKHan-e-viran kun o gulshan kiya
nāla-e-bulbul huā nāqūs-e-dair
gul kiyā jis vaqt gulzār-e-butāñ
nala-e-bulbul hua naqus-e-dair
gul kiya jis waqt gulzar-e-butan
ai 'turāb' jab gul-badan ke dard suuñ giryāñ kiyā
dāman-e-gul par mirā har ashk durdāna huā
ai 'turab' jab gul-badan ke dard sun giryan kiya
daman-e-gul par mera har ashk durdana hua
baañd kar gulnār chīrā gul-badan jaatā hai baaġh
aaj ḳhātir meñ tire bulbul kī mismārī hai kyā
band kar gulnar chira gul-badan jata hai bagh
aaj KHatir mein tere bulbul ki mismari hai kya
nahīñ yaaro ḳhudā hargiz tumhāre suñ judā haigā
jidhar dekhe udhar mamlū sadā nūr-e-ḳhudā haigā
nahin yaro KHuda hargiz tumhaare sun juda haiga
jidhar dekhe udhar mamlu sada nur-e-KHuda haiga
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere