ALL
Ghazal19
sher25
Profile
Kalaam23
Persian Sufi Poetry4
Naat-o-Manqabat12
Salam1
Geet3
Krishn Bhakti Sufi Kalaam2
Ashaar of Abdul Hadi Kavish
yahī īmān hai apnā yahī apnā amal 'kāvish'
sanam ke ik ishāre par har ik shai ko luTā denā
yahi iman hai apna yahi apna amal 'kawish'
sanam ke ek ishaare par har ek shai ko luTa dena
jism kā resha resha machle dard-e-mohabbat faash kare
ishaq meñ 'kāvish' ḳhāmoshī to suḳhanvarī se mushkil hai
jism ka resha resha machle dard-e-mohabbat fash kare
ishaq mein 'kawish' KHamoshi to suKHanwari se mushkil hai
asīr-e-gesū-e-pur-ḳham banā.e pahle āshiq ko
nikāle phir vo pech-o-ḳham kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
asir-e-gesu-e-pur-KHam banae pahle aashiq ko
nikale phir wo pech-o-KHam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
chāñd sā mukhḌā us ne dikhā kar phir naināñ ke baan chalā kar
sa.variyā ne bīch-bajariyā luuT liyo bas nirdhan ko
chand sa mukhDa us ne dikha kar phir nainan ke ban chala kar
sawariya ne bich-bajariya luT liyo bas nirdhan ko
to-ko batā.ūñ sun re sakhī-rī murshid piyā kī sūrat kis kī
yahī hai sūrat sher-e-ḳhudā kī bāñkī chitvan kaarī akhiyāñ
to-ko bataun sun re sakhi-ri murshid piya ki surat kis ki
yahi hai surat sher-e-KHuda ki banki chitwan kari akhiyan
ye ādāb-e-mohabbat hai tire qadmoñ pe sar rakh duuñ
ye terī ik adā hai pher kar muñh muskurā denā
ye aadab-e-mohabbat hai tere qadmon pe sar rakh dun
ye teri ek ada hai pher kar munh muskura dena
tū laakh kare inkār magar bātoñ meñ tirī kaun aatā hai
īmān mirā ye merā yaqīñ tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
tu lakh kare inkar magar baaton mein teri kaun aata hai
iman mera ye mera yaqin tu aur nahin main aur nahin
apne hāthoñ mehñdī lagā.ī maañg bhī maiñ ne dekho sajā.ī
aa.e piyā ghar rim-jhim barse jaao batā do sāvan ko
apne hathon mehndi lagai mang bhi main ne dekho sajai
aae piya ghar rim-jhim barse jao bata do sawan ko
uTh ke añdherī rātoñ meñ ham tujh ko pukārā karte haiñ
har chiiz se nafrat ham ko huī ham jannat-e-fardā bhuul ga.e
uTh ke andheri raaton mein hum tujh ko pukara karte hain
har chiz se nafrat hum ko hui hum jannat-e-farda bhul gae
aag lagī vo ishaq kī sar se maiñ paañv tak jalā
fart-e-ḳhushī se dil mirā kahne lagā jo ho so ho
aag lagi wo ishaq ki sar se main panw tak jala
fart-e-KHushi se dil mera kahne laga jo ho so ho
dīn-o-īmāñ kyā aur kyā hai dharm khol diyā ab to nām-e-ḳhudā ne bharam
chashm-e-murshid ne kī aisī jādūgarī kuchh bhī mujh ko na bhaa.e to maiñ kyā karūñ
din-o-iman kya aur kya hai dharm khol diya ab to nam-e-KHuda ne bharam
chashm-e-murshid ne ki aisi jadugari kuchh bhi mujh ko na bhae to main kya karun
sāġhar sharāb-e-ishq kā pī hī liyā jo ho so ho
sar ab kaTe yā ghar luTe fikr hī kyā jo ho so ho
saghar sharab-e-ishq ka pi hi liya jo ho so ho
sar ab kaTe ya ghar luTe fikr hi kya jo ho so ho
chāñd sā mukhḌā us ne dikhā kar phir naināñ ke baan chalā kar
sa.variyā ne bīch-bajariyā luuT liyo is nirdhan ko
chand sa mukhDa us ne dikha kar phir nainan ke ban chala kar
sawariya ne bich-bajariya luT liyo is nirdhan ko
uTh ke añdherī rātoñ meñ ham tujh ko pukārā karte haiñ
har chiiz se nafrat ham ko huī ham jannat-e-fardā bhuul ga.e
uTh ke añdherī rātoñ meñ hum tujh ko pukārā karte haiñ
har chiz se nafrat hum ko huī hum jannat-e-fardā bhul gae
ākāsh kī jagmag rātoñ meñ jab chāñd sitāre milte haiñ
dil de de sanam ko tū bhī ye qudrat ke ishāre milte haiñ
aakash ki jagmag raaton mein jab chand sitare milte hain
dil de de sanam ko tu bhi ye qudrat ke ishaare milte hain
jaako koī pakḌe to kaise kaam karat hai nazar na aa.e
chupke chupke sendh lagāve din hove yā añdherī ratiyāñ
jako koi pakDe to kaise kaam karat hai nazar na aae
chupke chupke sendh lagawe din howe ya andheri ratiyan
ilm aur fazl ke dīn-o-īmān ke aql par merī 'kāvish' the parde paḌe
saare parde uThā kar koī ab mujhe apnā jalva dikhā.e to maiñ kyā karūñ
ilm aur fazl ke din-o-iman ke aql par meri 'kawish' the parde paDe
sare parde uTha kar koi ab mujhe apna jalwa dikhae to main kya karun
mil gayā raah meñ mujh ko jab vo sanam laakh dil ko sambhālā kiyā zabt-e-ġham
dil meñ hasrat liye chand aañsū magar daf.atan muskurā.e to maiñ kyā karūñ
mil gaya rah mein mujh ko jab wo sanam lakh dil ko sambhaala kiya zabt-e-gham
dil mein hasrat liye chand aansu magar dafatan muskurae to main kya karun
chalo aao 'kāvish' ki kāñdhā lagā.eñ
alī kī ḳhudā ne uThā.ī hai Dolī
chalo aao 'kawish' ki kandha lagaen
ali ki KHuda ne uThai hai Doli
surūr-o-kaif kā naġhma ġham-o-andoh kā nauha
tilism-e-zīst kī sargam kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
surur-o-kaif ka naghma gham-o-andoh ka nauha
tilism-e-zist ki sargam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
alī to-ko jānūñ ḳhudā to-ko jānūñ
maiñ rakhtī huuñ jag se tabī.at nyāri
ali to-ko jaanun KHuda to-ko jaanun
main rakhti hun jag se tabiat nyari
kūche meñ tire ai jān-e-ġhazal ye raaz khulā ham par aa kar
ġham bhī to ināyat hai terī ham ġham kā mudāvā bhuul ga.e
kuche mein tere ai jaan-e-ghazal ye raaz khula hum par aa kar
gham bhi to inayat hai teri hum gham ka mudawa bhul gae
jīvan kī uljhī rāhoñ meñ jab ghor añdherā aatā hai
hāthoñ meñ liye raushan mash.al to guru hamāre milte haiñ
jiwan ki uljhi rahon mein jab ghor andhera aata hai
hathon mein liye raushan mashal to guru hamare milte hain
is paap kī nagrī meñ har or añdherā hai
ujiyār meñ bas vo hai jo tujh ko piyā chāhe
is pap ki nagri mein har or andhera hai
ujiyar mein bas wo hai jo tujh ko piya chahe
jā ko koī pakḌe to kaise kaam karat hai nazar na aa.e
chupke chupke sendh lagāve din hove yā añdherī ratiyāñ
ja ko koi pakDe to kaise kaam karat hai nazar na aae
chupke chupke sendh lagawe din howe ya andheri ratiyan
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere