Ashaar of Ibrahim Aajiz
shā.erān-e-dahr ko ab hai pareshānī nasīb
karte haiñ ustād 'akmal' jam.a dīvāñ in dinoñ
shaeran-e-dahr ko ab hai pareshani nasib
karte hain ustad 'akmal' jama diwan in dinon
iid se bhī kahīñ baḌh kar hai ḳhushī aalam meñ
jab se mash.hūr huī hai ḳhabar-e-āmad-e-yār
id se bhi kahin baDh kar hai KHushi aalam mein
jab se mashhur hui hai KHabar-e-amad-e-yar

murīd-e-pīr-e-mai-ḳhāna hue qismat se ai nāseh
na jhāḌeñ shauq meñ palkoñ se ham kyuuñ sahn-e-mai-ḳhāna
murid-e-pir-e-mai-KHana hue qismat se ai naseh
na jhaDen shauq mein palkon se hum kyun sahn-e-mai-KHana
jahān-e-be-ḳhudī meñ mastī-e-vahdat jo le jaaye
farishte leñ qadam mere vo huuñ maiñ riñd-e-mastāna
jahan-e-be-KHudi mein masti-e-wahdat jo le jaye
farishte len qadam mere wo hun main rind-e-mastana
vafā kī ho kisī ko tujh se kyā ummīd o zālim
ki ik aalam hai kushta terī tarz-e-bevafā.ī kā
wafa ki ho kisi ko tujh se kya ummid o zalim
ki ek aalam hai kushta teri tarz-e-bewafai ka
ḳhat-e-tovām kī tarah un se lipaT jā.eñge
ham na māneñge kabhī laakh kareñ vo inkār
KHat-e-towam ki tarah un se lipaT jaenge
hum na manenge kabhī lakh karen wo inkar
manam aañ māh-e-auj-e-husn dar burj-e-zamīñ-tābāñ
ki har shab mī-shavand az āsmāñ anjum nisār-e-man
manam aan mah-e-auj-e-husn dar burj-e-zamin-taban
ki har shab mi-shawand az aasman anjum nisar-e-man
sajda-e-ushshāq kai gardad adā
juz ba-mehrāb-e-ḳham-e-abrū-e-tū
sajda-e-ushshaq kai gardad ada
juz ba-mehrab-e-KHam-e-abru-e-tu
zaḳhm-e-ḳhandāñ shukr meñ masrūf hai ai chāragar
jab se phāhā tū ne rakhā siina ke nāsūr par
zaKHm-e-KHandan shukr mein masruf hai ai chaaragar
jab se phaha tu ne rakha sina ke nasur par
kahtā huuñ ye un ke tasavvur se ai dushman-e-hastī-e-vahmī
jab Thahrā maiñ ik mauj-e-ravāñ ḳhat-e-mauj kī tarah miTā de mujhe
kahta hun ye un ke tasawwur se ai dushman-e-hasti-e-wahmi
jab Thahra main ek mauj-e-rawan KHat-e-mauj ki tarah miTa de mujhe
ġhairoñ meñ na maiñ arz-e-tamannā se rukuñgā
iġhmāz kare vo sar-e-mahfil ki ḳhafā ho
ghairon mein na main arz-e-tamanna se rukunga
ighmaz kare wo sar-e-mahfil ki KHafa ho
dil hai vahī dil jis meñ bharā nūr-e-ḳhudā ho
sar hai vahī jo ka.aba-e-taslīm-o-razā ho
dil hai wahi dil jis mein bhara nur-e-KHuda ho
sar hai wahi jo kaba-e-taslim-o-raza ho
dil hai vahī dil jis meñ bharā nūr-e-ḳhudā ho
sar hai vahī jo ka.aba-e-taslīm-o-razā ho
dil hai wahi dil jis mein bhara nur-e-KHuda ho
sar hai wahi jo kaba-e-taslim-o-raza ho
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere