Ashaar of Mardan Safi
shakl-e-ādam ke sivā aur na bhāyā naqsha
saare aalam meñ ye iz.hār hai allāh allāh
shakl-e-adam ke siwa aur na bhaya naqsha
sare aalam mein ye izhaar hai allah allah
ā.īna hai ā.īna-rūyoñ kā husn
bīnish us kī apne andar aur hai
aaina hai aaina-ruyon ka husn
binish us ki apne andar aur hai
jab tumhīñ tum ho har adā merī
phir bhalā mujh se kab judā ho tum
jab tumhin tum ho har ada meri
phir bhala mujh se kab juda ho tum
hai lutf zindagī kā ba.ad-az-fanā usī meñ
nām-e-ḳhudā jo apne sab tan-badan se nikle
hai lutf zindagi ka baad-az-fana usi mein
nam-e-KHuda jo apne sab tan-badan se nikle
qabr par merī agar fātiha paḌhne ke liye
vo jo aa jaa.eñ to tharrā uThe turbat merī
qabr par meri agar fatiha paDhne ke liye
wo jo aa jaen to tharra uThe turbat meri
aarzū ham nāḳhudā kī kyuuñ kareñ
apnī kashtī kā to afsar aur hai
aarzu hum naKHuda ki kyun karen
apnī kashti ka to afsar aur hai
aarzū ham nāḳhudā kī kyuuñ kareñ
apnī kashtī kā to afsar aur hai
aarzu hum naKHuda ki kyun karen
apnī kashti ka to afsar aur hai
hājiyoñ ko ho mubārak haj-e-īd
āshiqoñ kā haj-e-akbar aur hai
hajiyon ko ho mubarak haj-e-id
aashiqon ka haj-e-akbar aur hai
aane do us gul-badan ko mujh meñ puure husn se
andalīb-e-dil huuñ aalam mujh par nālāñ to sahī
aane do us gul-badan ko mujh mein pure husn se
andalib-e-dil hun aalam mujh par nalan to sahi
baiThe baiThe vo kiyā karte haiñ har gul pe nazar
dil-e-āshiq hai magar sair kā gulshan un kā
baiThe baiThe wo kiya karte hain har gul pe nazar
dil-e-ashiq hai magar sair ka gulshan un ka
vahshat na qabr meñ ho tum sāmne hī rahnā
dast-e-junūñ na merā bāhar kafan se nikle
wahshat na qabr mein ho tum samne hi rahna
dast-e-junun na mera bahar kafan se nikle
'Mardāñ' jo koī Duube dariyā-e-ishq meñ vo
chhūTe ḳhudī se apne hubb-e-vatan se nikle
'Mardan' jo koi Dube dariya-e-ishq mein wo
chhuTe KHudi se apne hubb-e-watan se nikle
mil ga.e bāham ḳhudā ke fazl se ba.ad az fanā
us ko achchhā kyā kaheñ ham sar-basar achchhā huā
mil gae baham KHuda ke fazl se baad az fana
us ko achchha kya kahen hum sar-basar achchha hua
go hue furqat kabhī to kyā jamāl-e-yār se
dam-ba-dam un kī mohabbat dil meñ ghar paatī rahī
go hue furqat kabhi to kya jamal-e-yar se
dam-ba-dam un ki mohabbat dil mein ghar pati rahi
merā jism aur mirī jaañ hai vahī jaañ bilkul
maiñ kahūñ kyā ki maiñ huuñ yaar hai allāh allāh
mera jism aur meri jaan hai wahi jaan bilkul
main kahun kya ki main hun yar hai allah allah
dekhte haiñ sarv-qaddoñ ko jo ham
is meñ gul-gasht-e-sanobar aur hai
dekhte hain sarw-qaddon ko jo hum
is mein gul-gasht-e-sanobar aur hai
har jagah jab tumhīñ ho ġhair nahīñ
donoñ-ālam meñ barmalā ho tum
har jagah jab tumhin ho ghair nahin
donon-alam mein barmala ho tum
baiThe baiThe vo kiyā karte haiñ har gul pe nazar
dil-e-āshiq hai magar sair kā gulshan un kā
baiThe baiThe wo kiya karte hain har gul pe nazar
dil-e-ashiq hai magar sair ka gulshan un ka
kaam ka.aba se na hai ne der se
dīn-o-īmān yaañ birādar aur hai
kaam kaba se na hai ne der se
din-o-iman yan biradar aur hai
bedārī ho yā ḳhvāb ho har haal meñ hai vasl
jo sāhab-e-nisbat haiñ magar ahl-e-yaqīñ haiñ
bedari ho ya KHwab ho har haal mein hai wasl
jo sahab-e-nisbat hain magar ahl-e-yaqin hain
vo rahe ḳhush ham se 'mardāñ' aur kabhī nā-ḳhush rahe
dil meñ ham ko har adā un kī magar bhātī rahī
wo rahe KHush hum se 'mardan' aur kabhi na-KHush rahe
dil mein hum ko har ada un ki magar bhati rahi
jilāyā maar kar qātil ne mañ is qatl ke qurbāñ
huā dāḳhil vo ḳhud mujh meñ maiñ aise daḳhl ke qurbāñ
jilaya mar kar qatil ne man is qatl ke qurban
hua daKHil wo KHud mujh mein main aise daKHl ke qurban
phir na aayā phir ke gar vo nāma-bar achchhā huā
ḳhat kitābat uTh ga.ī ai sīm-bar achchhā huā
phir na aaya phir ke gar wo nama-bar achchha hua
KHat kitabat uTh gai ai sim-bar achchha hua
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere