Ashaar of Ameer Minai
bahr-e-ulfat meñ nahīñ kashtī kā kaam
nuuh se kah do ye tūfāñ aur hai
bahr-e-ulfat mein nahin kashti ka kaam
nuh se kah do ye tufan aur hai
kahāñ kā naala kahāñ kā shevan sunā.e qātil hai vaqt-e-murdan
qalam huī hai badan se gardan zabāñ pe na.ara hai āfrīñ kā
kahan ka nala kahan ka shewan sunae qatil hai waqt-e-murdan
qalam hui hai badan se gardan zaban pe nara hai aafrin ka
us ne ḳhat bhejā jo mujh ko Daak par Daaka paḌā
yaar kyā kartā na thā mere muqaddar kā javāb
us ne KHat bheja jo mujh ko Dak par Daka paDa
yar kya karta na tha mere muqaddar ka jawab
jab qadam rakhā zamīñ par āsmāñ par jā paḌā
bārhā ham ne kiyā hai imtihān-e-kū-e-dost
jab qadam rakha zamin par aasman par ja paDa
barha hum ne kiya hai imtihan-e-ku-e-dost
maiñ na mānūñgā ki dī aġhyār ne tarġhīb-e-qatl
dushmanoñ se dostī kā haq adā kyūñkar huā
main na manunga ki di aghyar ne targhib-e-qatl
dushmanon se dosti ka haq ada kyunkar hua
gulshan-e-jannat kī kyā parvā hai ai rizvāñ unheñ
haiñ jo mushtāq-e-bahisht-e-jāvedān-e-kū-e-dost
gulshan-e-jannat kī kyā parwā hai ai rizwāñ unheñ
haiñ jo mushtāq-e-bahisht-e-jāwedān-e-kū-e-dost
hasht jannat shash-jihat haft āsmāñ
sab hue paidā barā-e-mustafā
hasht jannat shash-jihat haft aasman
sab hue paida bara-e-mustafa
ho ke ḳhush kaTvāte haiñ apne gale
āshiqoñ kī īd-e-qurbāñ aur hai
ho ke KHush kaTwate hain apne gale
aashiqon ki id-e-qurban aur hai
dard-e-dil avval to vo āshiq kā sunte hī nahīñ
aur jo sunte haiñ to sunte haiñ fasāne kī tarah
dard-e-dil awwal to wo aashiq ka sunte hi nahin
aur jo sunte hain to sunte hain fasane ki tarah
zamīñ hai āsmāñ bhī us ke aage
ajab bartar madīne kī zamīñ hai
zamin hai aasman bhi us ke aage
ajab bartar madine ki zamin hai
na kor bātin ho ai barhaman zarā tū chashm-e-tamīz vā kar
ḳhudā kā banda butoñ ko sajda ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar
na kor baatin ho ai barhaman zara tu chashm-e-tamiz wa kar
KHuda ka banda buton ko sajda KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
usī kā hai rañg yāsman meñ usī kī bū-bās nastaran meñ
jo khaḌke pattā bhī is chaman meñ ḳhayāl āvāz āshnā kar
usi ka hai rang yasman mein usi ki bu-bas nastaran mein
jo khaDke patta bhi is chaman mein KHayal aawaz aashna kar
bāda-ḳhvār tum ko kyā ḳhurshīd-e-mahshar kā hai ḳhauf
chhā rahā hai abr-e-rahmat shāmiyāne kī tarah
baada-KHwar tum ko kya KHurshid-e-mahshar ka hai KHauf
chha rahā hai abr-e-rahmat shamiyane ki tarah
pheñk do ḳhat likh ke qāsid se jo tum bezār ho
uḌ ke aa.egā jo hai mere muqaddar kā javāb
phenk do KHat likh ke qasid se jo tum bezar ho
uD ke aaega jo hai mere muqaddar ka jawab
yahī jo saudā hai mujh hazīñ kā patā kahāñ kū-e-nāznīñ kā
ġhubār-āsā nahīñ kahīñ kā na āsmāñ kā na maiñ zamīñ kā
yahī jo sauda hai mujh hazin ka pata kahan ku-e-naznin ka
ghubar-asa nahin kahin ka na aasman ka na main zamin ka
ek din vo mere ghar hai ek din vo us ke ghar
ġhair kī qismat bhī hai mere muqaddar kā javāb
ek din wo mere ghar hai ek din wo us ke ghar
ghair ki qismat bhi hai mere muqaddar ka jawab
ek din vo mere ghar hai ek din vo us ke ghar
ġhair kī qismat bhī hai mere muqaddar kā javāb
ek din wo mere ghar hai ek din wo us ke ghar
ghair ki qismat bhi hai mere muqaddar ka jawab
gulshan-e-jannat kī kyā parvā hai ai rizvāñ unheñ
haiñ jo mushtāq-e-bahisht-e-jāvedān-e-kū-e-dost
gulshan-e-jannat ki kya parwa hai ai rizwan unhen
hain jo mushtaq-e-bahisht-e-jawedan-e-ku-e-dost
ek din vo mere ghar hai ek din vo us ke ghar
ġhair kī qismat bhī hai mere muqaddar kā javāb
ek din wo mere ghar hai ek din wo us ke ghar
ghair ki qismat bhi hai mere muqaddar ka jawab
chāTtī hai kyuuñ zabān-e-teġh-e-qātil baar baar
be-namak chhiḌke ye zaḳhmoñ meñ mazā kyūñkar huā
chaTti hai kyun zaban-e-tegh-e-qatil bar bar
be-namak chhiDke ye zaKHmon mein maza kyunkar hua
har sūrat-e-marg-o-zīst apnī hai judā
us lab ne jilāyā thā adā ne maarā
har surat-e-marg-o-zist apnī hai juda
us lab ne jilaya tha ada ne mara
tum to aate hī qayāmat karte ho sāhab bapā
dil meñ aate ho to aao ghar meñ aane kī tarah
tum to aate hi qayamat karte ho sahab bapa
dil mein aate ho to aao ghar mein aane ki tarah
ghar ghar tajalliyāñ haiñ talabgār bhī to ho
muusā sā koī tālib-e-dīdār bhī to ho
ghar ghar tajalliyan hain talabgar bhi to ho
musa sa koi talib-e-didar bhi to ho
na kor bātin ho ai barhaman zarā tū chashm-e-tamīz vā kar
ḳhudā kā banda butoñ ko sajda ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar
na kor baatin ho ai barhaman zara tu chashm-e-tamiz wa kar
KHuda ka banda buton ko sajda KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
uThe kyā zānū-e-ġham se sar apnā
bahut guzrī rahī haihāt thoḌī
uThe kya zanu-e-gham se sar apna
bahut guzri rahi haihat thoDi
piyegī ḳhuub ai qātil ġhazab kā rañg lā.egī
lagā.ī hai jo mehñdī piis us ko ḳhūn-e-bismil meñ
piyegi KHub ai qatil ghazab ka rang laegi
lagai hai jo mehndi pis us ko KHun-e-bismil mein
chashma-e-jārī ḳhāssa-e-bārī gard-savārī bād-e-bahārī
ā.īna-dārī faḳhr-e-sikandar sallāho alaihe-vasallam
chashma-e-jari KHassa-e-bari gard-sawari baad-e-bahaari
aaina-dari faKHr-e-sikandar sallaho alaihe-wasallam
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere