Ashaar of Sanjar Ghazipuri
aañkh milte hī kisī ma.ashūq se
phir tabī.at kyā sambhālī jā.egī
aankh milte hi kisi mashuq se
phir tabiat kya sambhaali jaegi
dahr-e-fānī meñ hañsī kaisī ḳhushī kyā chiiz hai
rone aa.e the yahāñ do-chār din ko ro ga.e
dahr-e-fani mein hansi kaisi KHushi kya chiz hai
rone aae the yahan do-chaar din ko ro gae
assalām ai haq ke pyāre assalām
aur mohammad ke dulāre assalām
assalam ai haq ke pyare assalam
aur mohammad ke dulare assalam
jhūlo jhūlnā mohammad bībī-āmna ke laal
husn hai dilkash adā nirālī
jhulo jhulna mohammad bibi-amna ke lal
husn hai dilkash ada nirali
ruk ga.e aañsū mire dard-e-jigar kuchh kam huā
is but-e-sīmīñ-badan kā jab nazāra ho gayā
ruk gae aansu mere dard-e-jigar kuchh kam hua
is but-e-simin-badan ka jab nazara ho gaya
aah us parda-nashīñ kī justujū meñ jo ga.e
kuchh pata paayā na us kā ḳhud hī jā kar kho ga.e
aah us parda-nashin ki justuju mein jo gae
kuchh pata paya na us ka KHud hi ja kar kho gae
jab ḳhudā se lo lagā.ī jā.egī
phir duā kab koī ḳhālī jā.egī
jab KHuda se lo lagai jaegi
phir dua kab koi KHali jaegi
jab ḳhudā se lo lagā.ī jā.egī
phir duā kab koī ḳhālī jā.egī
jab KHuda se lo lagai jaegi
phir dua kab koi KHali jaegi
dahr-e-fānī meñ hañsī kaisī ḳhushī kyā chiiz hai
rone aa.e the yahāñ do-chār din ko ro ga.e
dahr-e-fani mein hansi kaisi KHushi kya chiz hai
rone aae the yahan do-chaar din ko ro gae
jo māñgnā ho ḳhudā se māñgo usī se baḳhshish kī iltijā ho
gunāh Dhal kar ho paanī paanī sambhal ke chaliye qadam qadam par
jo mangna ho KHuda se mango usi se baKHshish ki iltija ho
gunah Dhal kar ho pani pani sambhal ke chaliye qadam qadam par
ḳhvāja torī sūrat pe maiñ vaarī
nuurī prem adā pe maiñ vaarī
KHwaja tori surat pe main wari
nuri prem ada pe main wari
jo āshiq haiñ tere taḌapte nahīñ haiñ
kabhī āh-o-nāle vo karte nahīñ haiñ
jo aashiq hain tere taDapte nahin hain
kabhi aah-o-nale wo karte nahin hain
ishq meñ is sho.ala-rū ke aise be-ḳhud ho ga.e
aap bhī aane na paa.e the kī āḳhir kho ga.e
ishq mein is shoala-ru ke aise be-KHud ho gae
aap bhi aane na pae the ki aaKHir kho gae
ġhair muñh taktā rahā maiñ arz-e-matlab kar chukā
mujh se un se āñkhoñ āñkhoñ meñ ishāra ho gayā
ghair munh takta raha main arz-e-matlab kar chuka
mujh se un se aankhon aankhon mein ishaara ho gaya
nek-o-bad do hī amal jaate haiñ dam ke saath saath
qabr meñ shāmil mere ye ban ke rahbar do ga.e
nek-o-bad do hi amal jate hain dam ke sath sath
qabr mein shamil mere ye ban ke rahbar do gae
ishq terā jo ai dilrubā ho gayā
thā jo qismat kā likhā adā ho gayā
ishq tera jo ai dilruba ho gaya
tha jo qismat ka likha ada ho gaya
rañg lā.egā mirā soz-e-mohabbat qabr meñ
ustuḳhvāñ ho jā.egā sho.ale kafan jal jā.egā
rang laega mera soz-e-mohabbat qabr mein
ustuKHwan ho jaega shoale kafan jal jaega
ye haiñ ḳhūn-e-bismil kī dhāreñ ai qātil
tirī āñkhoñ meñ surḳh Dore nahīñ haiñ
ye hain KHun-e-bismil ki dhaaren ai qatil
teri aankhon mein surKH Dore nahin hain
saḳht-jāñ 'sanjar' huā hai ishq meñ
teġh ab qātil kī ḳhālī jā.egī
saKHt-jaan 'sanjar' hua hai ishq mein
tegh ab qatil ki KHali jaegi
dil apnā mohammad kā kāshāna banā Daalā
ujḌe hue is ghar ko shāhāna banā Daalā
dil apna mohammad ka kashana bana Dala
ujDe hue is ghar ko shahana bana Dala
jo māñgnā ho ḳhudā se māñgo usī se baḳhshish kī iltijā ho
gunāh Dhal kar ho paanī paanī sambhal ke chaliye qadam qadam par
jo mangna ho KHuda se mango usi se baKHshish ki iltija ho
gunah Dhal kar ho pani pani sambhal ke chaliye qadam qadam par
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere