Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama
noImage

Akbar Warsi Meerthi

- 1953 | Meerut, India

Ashaar of Akbar Warsi Meerthi

SORT BY

us aañkh se jis aañkh ne maḳhmūr do-ālam ka.e

merī taraf bhī dekhnā maulā-alī mushkil-kushā

us aankh se jis aankh ne maKHmur do-alam kae

meri taraf bhi dekhna maula-ali mushkil-kusha

jo tumhārī baat hai hai vo zamāna se judā

shoḳhiyāñ ījād karte ho baḌe ustād ho

jo tumhaari baat hai hai wo zamana se juda

shoKHiyan ijad karte ho baDe ustad ho

निकल कर ज़ुल्फ़ से पहुँचूँगा क्यूँकर मुसहफ़-ए-रुख़ पर

अकेला हूँ अँधेरी रात है और दूर मंज़िल है

निकल कर ज़ुल्फ़ से पहुँचूँगा क्यूँकर मुसहफ़-ए-रुख़ पर

अकेला हूँ अँधेरी रात है और दूर मंज़िल है

kabhī dair-o-ka.aba batā diyā kabhī lā-makāñ patā diyā

jo ḳhudī ko ham ne miTā diyā to vo apne-āp meñ ga.e

kabhi dair-o-kaba bata diya kabhi la-makan ka pata diya

jo KHudi ko hum ne miTa diya to wo apne-ap mein pa gae

sambhālo to tum apnī teġh-e-adā ko

mirī jāñ-dehī ke hunar dekh lenā

sambhaalo to tum apni tegh-e-ada ko

meri jaan-dehi ke hunar dekh lena

vafā.eñ yaad karke vo bahā jaate haiñ rose aañsū

rahegā hashr tak sarsabz sabza merī turbat

wafaen yaad karke wo baha jate hain rose aansu

rahega hashr tak sarsabz sabza meri turbat ka

na pūchho pata 'akbar'-e-ġham-zada

kahīñ hogā thāme jigar dekh lenā

na puchho pata 'akbar'-e-gham-zada ka

kahin hoga thame jigar dekh lena

aap ke faiz se bahr-e-fazl-e-ḳhudā

maujzan maujzan maujzan ho gayā

aap ke faiz se bahr-e-fazl-e-KHuda

maujzan maujzan maujzan ho gaya

kahā us ne ki 'akbar' kis ke āshiq ho kahā maiñ ne

tumhārī pyārī aadat tumhārī bholī sūrat

kaha us ne ki 'akbar' kis ke aashiq ho kaha main ne

tumhaari pyari aadat ka tumhaari bholi surat ka

maiñ hamesha asīr-e-alam rahā mire dil meñ sadā terā ġham rahā

mirā naḳhl-e-ummīd qalam rahā mere rone koī samar na milā

main hamesha asir-e-alam hi raha mere dil mein sada tera gham hi raha

mera naKHl-e-ummid qalam hi raha mere rone ka koi samar na mila

likhī kyā na.at hai allāhu-akbar

ḳhudā-e-pāk mahshar meñ jazā de

likhi kya nat hai allahu-akbar

KHuda-e-pak mahshar mein jaza de

adā ġhamze karishme ishve haiñ bikhre hue har-sū

saf-e-maqtal meñ qātil hai andāz-e-qātil hai

ada ghamze karishme ishwe hain bikhre hue har-su

saf-e-maqtal mein ya qatil hai ya andaz-e-qatil hai

tujh se milne batā phir kaun din aa.egā

iid ko bhī mujh se gar ai merī jaañ miltā nahīñ

tujh se milne ka bata phir kaun sa din aaega

id ko bhi mujh se gar ai meri jaan milta nahin

kam nahīñ gulshan meñ shabnam gul-badan gul-pairahan

ġhusl kar mal-mal ke gar āb-e-ravāñ miltā nahīñ

kam nahin gulshan mein shabnam gul-badan gul-pairahan

ghusl kar mal-mal ke gar aab-e-rawan milta nahin

kahūñ kyā ki gulshan-e-dahr meñ vo ajab karishme dikhā ga.e

kahīñ āshiqoñ ko miTā ga.e kahīñ lan-tarānī sunā ga.e

kahun kya ki gulshan-e-dahr mein wo ajab karishme dikha gae

kahin aashiqon ko miTa gae kahin lan-tarani suna gae

jaisī chāhe koshisheñ kar vā.iz-e-bātin-ḳharāb

tere rahne ko to jannat meñ makāñ miltā nahīñ

jaisi chahe koshishen kar waiz-e-baatin-KHarab

tere rahne ko to jannat mein makan milta nahin

sab tamāshe aap meñ haiñ dekh lo aur chhoḌ do

koh taftīsh ban kar fikr-e-gulshan talāsh

sab tamashe aap mein hain dekh lo aur chhoD do

koh ki taftish ban kar fikr-e-gulshan ki talash

gar dil meñ chashm-e-bīnā ho bul-ḳhānā ho kaba ho

ghar ghar meñ hai us ks darshan subhānallah subhānallah

gar dil mein chashm-e-bina ho bul-KHana ho ya kaba ho

ghar ghar mein hai us ks darshan subhanallah subhanallah

rahzan-e-īmān jalva dikhā jaaye agar

but pujeñ mandir meñ masjid meñ ḳhudā yaad ho

rahzan-e-iman tu jalwa dikha jaye agar

but pujen mandir mein masjid mein KHuda ki yaad ho

jamāl-e-āriz-e-tābāñ dikhā de

marīz-e-ġham ko qur.āñ havā de

jamal-e-ariz-e-taban dikha de

mariz-e-gham ko quran ki hawa de

judā.ī meñ lab ḳhushk haiñ chashm tar haiñ

idhar bhī shah-e-bahr-o-bar dekh lenā

judāī meñ lab ḳhushk haiñ chashm tar haiñ

idhar bhī shah-e-bahr-o-bar dekh lenā

biThā.eñge āñkhoñ meñ dil meñ tujhe ham

pasand aa.e jo tujh ko ghar dekh lenā

biThaenge aankhon mein dil mein tujhe hum

pasand aae jo tujh ko ghar dekh lena

sitam ko chhoḌ bad achchhā burā badnām duniyā meñ

jafā ke saath terā naam ai qātil nikaltā hai

sitam ko chhoD bad achchha bura badnam duniya mein

jafa ke sath tera nam ai qatil nikalta hai

sair kar de ab ki gulshan-bīñ hai hañgām-e-bahār

ham asīroñ rihā.ī ab to ai sayyād ho

sair kar de ab ki gulshan-bin hai hangam-e-bahaar

hum asiron ki rihai ab to ai sayyaad ho

pas-e-murdan to mujh ko qabr meñ rāhat se rahne do

tumhārī Thokaroñ se uḌtā hai ḳhāka qayāmat

pas-e-murdan to mujh ko qabr mein rahat se rahne do

tumhaari Thokaron se uDta hai KHaka qayamat ka

yahī ḳhair hai kahīñ shar na ho koī be-gunāh idhar na ho

vo chale haiñ karte hue nazar kabhī is taraf kabhī us taraf

yahi KHair hai kahin shar na ho koi be-gunah idhar na ho

wo chale hain karte hue nazar kabhi is taraf kabhi us taraf

ab ijāzat dafn ho jaa.e to jannat mile

yaar ke kūche meñ ham ne jā-e-madfan talāsh

ab ijāzat dafn ho jae to jannat mile

yar ke kūche meñ hum ne jā-e-madfan talāsh

hare kapḌe pahan kar phir na jaanā yaar gulshan meñ

gulū-e-shāḳh-e-gul se ḳhuun Tapkegā shahādat

hare kapDe pahan kar phir na jaana yar gulshan mein

gulu-e-shaKH-e-gul se KHun Tapkega shahadat ka

jo ḳhudā kahūñ to ḳhudā nahīñ jo judā kahūñ to judā nahīñ

koī nukta ham se chhupā nahīñ hamīñ pech-o-tāb meñ aa ga.e

jo KHuda kahun to KHuda nahin jo juda kahun to juda nahin

koi nukta hum se chhupa nahin hamin pech-o-tab mein aa gae

ab ijāzat dafn ho jaa.e to jannat mile

yaar ke kūche meñ ham ne jā-e-madfan talāsh

ab ijazat dafn ki ho jae to jannat mile

yar ke kuche mein hum ne ja-e-madfan ki talash

mere sar ko mere dil ko merī āñkhoñ ko rahe

tire dar tere ghar tere āñgan talāsh

mere sar ko mere dil ko meri aankhon ko rahe

tere dar ki tere ghar ki tere aangan ki talash

hai bārīk tār-e-nazar se ziyāda

dikhā.ī na degī kamar dekh lenā

hai barik tar-e-nazar se ziyaada

dikhai na degi kamar dekh lena

jalve se tire hai kab ḳhālī phal phuul phalī patta Daalī

hai rañg tirā gulshan gulshan sub.hān-allāh sub.hān-allāh

jalwe se tere hai kab KHali phal phul phali patta Dali

hai rang tera gulshan gulshan subhan-allah subhan-allah

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Recitation

Speak Now