Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama
Seemab Akbarabadi's Photo'

Seemab Akbarabadi

1880 - 1951 | Agra, India

Prominent among most pre-modern poets, teacher of hundreds of disciples and disciple of Haji Waris Ali Shah.

Prominent among most pre-modern poets, teacher of hundreds of disciples and disciple of Haji Waris Ali Shah.

Ashaar of Seemab Akbarabadi

SORT BY

kamāl-e-ilm-o-tahqīq-e-mukammal ye hāsil hai

tirā idrāk mushkil thā tirā idrāk mushkil hai

kamal-e-ilm-o-tahqiq-e-mukammal ka ye hasil hai

tera idrak mushkil tha tera idrak mushkil hai

duniyā hai ḳhvāb hāsil-e-duniyā ḳhayāl hai

insān ḳhvāb dekh rahā hai ḳhayāl meñ

duniyā hai ḳhwāb hāsil-e-duniyā ḳhayāl hai

insān ḳhwāb dekh rahā hai ḳhayāl meñ

maiñ jiyā bhī duniyā meñ aur jaan bhī de

ye na khul sakā lekin aap ḳhushī kyā thī

main jiya bhi duniya mein aur jaan bhi de di

ye na khul saka lekin aap ki KHushi kya thi

vo urūj-e-māh vo chāñdnī vo ḳhamosh raat vo be-ḳhudī

vo tasavvurāt sarḳhushī tire saath rāz-o-niyāz meñ

wo uruj-e-mah wo chandni wo KHamosh raat wo be-KHudi

wo tasawwuraat ki sarKHushi tere sath raaz-o-niyaz mein

ishq ḳhud mā.il-e-hijāb hai aaj

husn majbūr-e-iztirāb hai aaj

ishq ḳhud māil-e-hijāb hai aaj

husn majbūr-e-iztirāb hai aaj

us dar-e-faiz se ummīd bañdhī rahtī hai

aur madīna taraf aañkh lagī rahtī hai

us dar-e-faiz se ummid bandhi rahti hai

aur madina ki taraf aankh lagi rahti hai

vahāñ huuñ maiñ jahāñ tam.īz-e-husn-o-ishq mushkil hai

har ik jalva ab āġhosh-e-nazar meñ jalva-e-dil hai

wahan hun main jahan tamiz-e-husn-o-ishq mushkil hai

har ek jalwa ab aaghosh-e-nazar mein jalwa-e-dil hai

mirā dāġh-e-sajda miTā.e kyuuñ falak us ko chāñd banā.e kyuuñ

ki ye daaġh hāsil-e-āshiqī hai mirī jabīn-e-niyāz meñ

mera dagh-e-sajda miTae kyun falak us ko chand banae kyun

ki ye dagh hasil-e-ashiqi hai meri jabin-e-niyaz mein

vo mere sar ko Thukrāte haiñ sajdoñ se ḳhafā ho kar

jabīñ se merī paivasta hai un āstāñ phir bhī

wo mere sar ko Thukraate hain sajdon se KHafa ho kar

jabin se meri paiwasta hai un ka aastan phir bhi

maslahat ye hai ḳhudī ġhaflateñ taarī rahaiñ

jab ḳhudī miT jā.egī banda ḳhudā ho jā.egā

maslahat ye hai KHudi ki ghaflaten tari rahain

jab KHudi miT jaegi banda KHuda ho jaega

zindagī jis meñ saañs letī thī

vo zamāna ḳhayāl-o-ḳhvāb hai aaj

zindagī jis meñ sañs letī thī

wo zamāna ḳhayāl-o-ḳhwāb hai aaj

vo ai 'sīmāb' kyuuñ sar-gashta-e-tasnīm-o-jannat ho

mayassar jis ko sair-e-tāj aur jamunā sāhil hai

wo ai 'sīmāb' kyuñ sar-gashta-e-tasnīm-o-jannat ho

mayassar jis ko sair-e-tāj aur jamunā sāhil hai

nahīñ aañkh jalva-kash-e-sahar ye hai zulmatoñ asar magar

ka.ī āftāb ġhurūb haiñ mire ġham shām-e-darāz meñ

nahin aankh jalwa-kash-e-sahar ye hai zulmaton ka asar magar

kai aaftab ghurub hain mere gham ki sham-e-daraaz mein

'sīmāb' ko shagufta na dekhā tamām umr

kam-baḳht jab milā hameñ ġham-āshnā milā

'sīmāb' ko shagufta na dekhā tamām umr

kam-baḳht jab milā hameñ ġham-āshnā milā

ujālā ho to DhūñDūñ dil bhī parvānoñ lāshoñ meñ

mirī barbādiyoñ ko intizār-e-sub.h-e-mahfil hai

ujala ho to DhunDun dil bhi parwanon ki lashon mein

meri barbaadiyon ko intizar-e-subh-e-mahfil hai

dījiye un ko kanār-e-ārzū par iḳhtiyār

jab vo hoñ āġhosh meñ be-dast-o-pā ho jā.iye

dijiye un ko kanar-e-arzu par iKHtiyar

jab wo hon aaghosh mein be-dast-o-pa ho jaiye

ġham-e-ishq se sargirāñ aur bhī haiñ

jahāñ ham haiñ shāyad vahāñ aur bhī haiñ

gham-e-ishq se sargiran aur bhi hain

jahan hum hain shayad wahan aur bhi hain

mai-kada ġham-kada hai tere baġhair

sar-nigūñ shīsha-e-sharāb hai aaj

mai-kada ġham-kada hai tere baġhair

sar-nigūñ shīsha-e-sharāb hai aaj

ilāhī bhed tere us ne zāhir kar diye sab par

kahā thā kis ne 'sīmāb' ko insān paidā kar

ilāhī bhed tere us ne zāhir kar diye sab par

kahā thā kis ne 'sīmāb' ko insān paidā kar

dījiye un ko kanār-e-ārzū par iḳhtiyār

jab vo hoñ āġhosh meñ be-dast-o-pā ho jā.iye

dijiye un ko kanar-e-arzu par iKHtiyar

jab wo hon aaghosh mein be-dast-o-pa ho jaiye

kyuuñ ye ḳhudā ke DhūñDne vaale haiñ nā-murād

guzrā maiñ jab hudūd-e-ḳhudī se ḳhudā milā

kyuñ ye ḳhudā ke DhūñDne wale haiñ nā-murād

guzrā maiñ jab hudūd-e-ḳhudī se ḳhudā milā

jalva-e-har-roz jo har sub.h qismat meñ thā

ab vo ik dhuñdlā ḳhvāb-e-dosh hai tere baġhair

jalwa-e-har-roz jo har subh ki qismat mein tha

ab wo ek dhundla sa KHwab-e-dosh hai tere baghair

ham talḳhī-e-qismat se haiñ tishna-lab-e-bāda

gardish meñ hai paimāna paimāne se kyā kahiye

hum talKHi-e-qismat se hain tishna-lab-e-baada

gardish mein hai paimana paimane se kya kahiye

dil bisāt kyā thī nigāh-e-jamāl meñ

ik ā.īna thā TuuT gayā dekh-bhāl meñ

dil bisāt kyā thī nigāh-e-jamāl meñ

ek āīna thā TuT gayā dekh-bhāl meñ

'sīmāb' koī martaba mansūr na thā

lafz-e-ḳhudī sharh na mash.hūr kar diyā

'sīmāb' koī martaba mansūr na thā

lafz-e-ḳhudī sharh na mashhūr kar diyā

insān ke dil meñ ghuT-ghuT kar jo ruuh ko khaa.e jaatā hai

himmat thī agar to duniyā ne us raaz ko ifshā kar na diyā

insan ke dil mein ghuT-ghuT kar jo ruh ko khae jata hai

himmat thi agar to duniya ne us raaz ko ifsha kar na diya

aap āvāz meñ hai dāvat-e-manzil raaz

kārvān-e-shauq bāñg-e-darā ho jā.iye

aap ki aawaz mein hai dawat-e-manzil ka raaz

karwan-e-shauq ki bang-e-dara ho jaiye

nasīm-e-sub.h gulshan meñ guloñ se kheltī hogī

kisī āḳhirī hichkī kisī dil-lagī hogī

nasīm-e-subh gulshan meñ guloñ se kheltī hogī

kisī āḳhirī hichkī kisī dil-lagī hogī

arabī nahīñ ajamī sahī magar aarzū hai ki 'vārisī'

kabhī apnā naġhma-e-mashriqī maiñ sunūñ navā-e-hijāz meñ

arabi nahin ajami sahi magar aarzu hai ki 'warisi'

kabhi apna naghma-e-mashriqi main sunun nawa-e-hijaz mein

ham to apnī be-ḳhudī-e-shauq meñ sarshār the

aap se kis ne kahā thā ḳhud-numā ho jā.iye

hum to apnī be-KHudi-e-shauq mein sarshaar the

aap se kis ne kaha tha KHud-numa ho jaiye

maslahat ye hai ḳhudī ġhaflateñ taarī rahaiñ

jab ḳhudī miT jā.egī banda ḳhudā ho jā.egā

maslahat ye hai KHudi ki ghaflaten tari rahain

jab KHudi miT jaegi banda KHuda ho jaega

duniyā hai ḳhvāb hāsil-e-duniyā ḳhayāl hai

insān ḳhvāb dekh rahā hai ḳhayāl meñ

duniyā hai ḳhwāb hāsil-e-duniyā ḳhayāl hai

insān ḳhwāb dekh rahā hai ḳhayāl meñ

kyuuñ ye ḳhudā ke DhūñDne vaale haiñ nā-murād

guzrā maiñ jab hudūd-e-ḳhudī se ḳhudā milā

kyuñ ye ḳhudā ke DhūñDne wale haiñ nā-murād

guzrā maiñ jab hudūd-e-ḳhudī se ḳhudā milā

'sīmāb' sarmastī aur ġham-kada-e-hastī

dīvāna hai dīvāna dīvāne se kyā kahiye

'simab' ki sarmasti aur gham-kada-e-hasti

diwana hai diwana diwane se kya kahiye

ġham-e-vāmāndagī se be-niyāz-e-hosh baiThā huuñ

chalī aatī hai āvāz-e-darā-e-kārvāñ phir bhī

gham-e-wamandagi se be-niyaz-e-hosh baiTha hun

chali aati hai aawaz-e-dara-e-karwan phir bhi

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Recitation

Speak Now