Font by Mehr Nastaliq Web
Muztar Khairabadi's Photo'

Muztar Khairabadi

1856 - 1927 | Gwalior, India

Famous Indian poet and father of Jan Nisar Akhtar.

Famous Indian poet and father of Jan Nisar Akhtar.

Ashaar of Muztar Khairabadi

SORT BY

vahī ab ba.ad-e-murdan qabr par aañsū bahāte haiñ

na aayā thā jinheñ merī mohabbat yaqīñ barsoñ

wahi ab baad-e-murdan qabr par aansu bahate hain

na aaya tha jinhen meri mohabbat ka yaqin barson

na kisī aañkh nuur huuñ na kisī ke dil qarār huuñ

kisī kaam meñ jo na aa sakī maiñ vo ek musht-e-ġhubār huuñ

na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun

kisi kaam mein jo na aa saki main wo ek musht-e-ghubar hun

mirī turbat pe ḳhud saaqī ne aa kar ye duā māñgī

ḳhudā baḳhshe bahut achchhī guzārī mai-parastī meñ

meri turbat pe KHud saqi ne aa kar ye dua mangi

KHuda baKHshe bahut achchhi guzari mai-parasti mein

tum salāmat raho qayāmat tak

aur qayāmat ḳhudā kare ki na ho

tum salamat raho qayamat tak

aur qayamat KHuda kare ki na ho

mohabbat but-kade meñ chal ke us faisla kar de

ḳhudā merā ḳhudā hai ye mūrat hai ḳhudā merī

mohabbat but-kade mein chal ke us ka faisla kar de

KHuda mera KHuda hai ya ye murat hai KHuda meri

'muztar' us ne savāl-e-ulfat par

kis adā se kahā ḳhudā na kare

'muztar' us ne sawal-e-ulfat par

kis ada se kaha KHuda na kare

butoñ se ham husūl-e-sabr ummīd kyuuñ rakheñ

ye kyā deñge ḳhudā ke paas se ḳhud nā-subūr aa.e

buton se hum husul-e-sabr ki ummid kyun rakhen

ye kya denge KHuda ke pas se KHud na-subur aae

mohabbat ibtidā meñ kuchh nahīñ ma.alūm hotī hai

magar phir dushman-e-īmān-o-dīñ ma.alūm hotī hai

mohabbat ibtida mein kuchh nahin malum hoti hai

magar phir dushman-e-iman-o-din malum hoti hai

maiñ añdherī gor huuñ aur tajallī tuur

raushnī de charāġh-e-rū-e-jānāna mujhe

main andheri gor hun aur tu tajalli tur ki

raushni de ja charagh-e-ru-e-jaanana mujhe

ye vo badlā hai sañg-e-āstāñ jabha-sā.ī

ki aa.e aur merī qabr par apnī jabīñ rakh

ye wo badla hai sang-e-astan ki jabha-sai ka

ki aae aur meri qabr par apni jabin rakh di

doī ke rañg-e-safā rah gayā

ḳhudī miTte miTte ḳhudā rah gayā

doi ja ke rang-e-safa rah gaya

KHudi miTte miTte KHuda rah gaya

vahī ab ba.ad-e-murdan qabr par aañsū bahāte haiñ

na aayā thā jinheñ merī mohabbat yaqīñ barsoñ

wahi ab baad-e-murdan qabr par aansu bahate hain

na aaya tha jinhen meri mohabbat ka yaqin barson

talāsh-e-but meñ mujh ko dekh kar jannat meñ sab bole

ye kāfir kyuuñ chalā aayā musalmānoñ bastī meñ

talāsh-e-but meñ mujh ko dekh kar jannat meñ sab bole

ye kāfir kyuñ chalā aayā musalmānoñ bastī meñ

tabī.at jo sabr-āzmā ho ga.ī

jafā rafta rafta vafā ho ga.ī

tabiat jo sabr-azma ho gai

jafa rafta rafta wafa ho gai

us se kah do ki vo jafā na kare

kahīñ mujh use ḳhudā na kare

us se kah do ki wo jafa na kare

kahin mujh sa use KHuda na kare

hamārī turbat pe tum jo aanā to saath aġhyār ko na laanā

ḳhushī ke sadme hameñ na denā hamāre ġham ḳhushī na karnā

hamari turbat pe tum jo aana to sath aghyar ko na lana

KHushi ke sadme hamein na dena hamare gham ki KHushi na karna

kuchh aisā dard shor-e-qalb-e-bulbul se nikal aayā

ki vo ḳhud rañg ban kar chehra-e-gul se nikal aayā

kuchh aisa dard shor-e-qalb-e-bulbul se nikal aaya

ki wo KHud rang ban kar chehra-e-gul se nikal aaya

Thaharnā dil meñ kuchh behtar na jaanā

bhare ghar ko unhoñ-ne ghar na jaanā

Thaharna dil mein kuchh behtar na jaana

bhare ghar ko unhon-ne ghar na jaana

nahīñ detā jo mai achchhā na de terī ḳhushī saaqī

pyāle kuchh hamesha taaq par rakhe nahīñ rahte

nahin deta jo mai achchha na de teri KHushi saqi

pyale kuchh hamesha taq par rakhe nahin rahte

kisī but adā ne maar Daalā

bahāne se ḳhudā ne maar Daalā

kisi but ki ada ne mar Dala

bahane se KHuda ne mar Dala

azīzoñ se ummīd 'muztar' fuzūl

tavaqqo.a duniyā fanā ho ga.ī

azizon se ummid 'muztar' fuzul

tawaqqoa ki duniya fana ho gai

ḳhūn-e-dil jitnā thā saarā vaqf-e-hasrat kar diyā

is qadar royā ki merī aañkh meñ aañsū nahīñ

KHun-e-dil jitna tha sara waqf-e-hasrat kar diya

is qadar roya ki meri aankh mein aansu nahin

vo pahlī sab vafā.eñ kyā huiiñ ab ye jafā kaisī

vo pahlī sab adā.eñ kyā huiiñ ab ye adā kyuuñ hai

wo pahli sab wafaen kya huin ab ye jafa kaisi

wo pahli sab adaen kya huin ab ye ada kyun hai

judā.ī meñ ye dhaḌkā thā ki aañch un par na aa jaaye

bujhā.ī āñsuoñ se ham ne āh-e-ātishīñ barsoñ

judāī meñ ye dhaḌkā thā ki aañch un par na aa jaye

bujhāī āñsuoñ se hum ne āh-e-ātishīñ barsoñ

vasl intizār achchhā

ye to 'muztar' ḳhudā kare ki na ho

wasl ka intizar hi achchha

ye to 'muztar' KHuda kare ki na ho

maiñ añdherī gor huuñ aur tajallī tuur

raushnī de charāġh-e-rū-e-jānāna mujhe

main andheri gor hun aur tu tajalli tur ki

raushni de ja charagh-e-ru-e-jaanana mujhe

ḳhudā bhī jab na ho ma.alūm tab jaano miTī hastī

fanā kyā mazā jab tak ḳhudā ma.alūm hotā hai

KHuda bhi jab na ho malum tab jaano miTi hasti

fana ka kya maza jab tak KHuda malum hota hai

tum apnī zulf kholo phir dil-e-pur-dāġh chamkegā

añdherā ho to kuchh kuchh sham.a āñkhoñ meñ nuur aa.e

tum apni zulf kholo phir dil-e-pur-dagh chamkega

andhera ho to kuchh kuchh shama ki aankhon mein nur aae

ḳhudā jaane mirī miTTī Thikāne kab lage 'muztar'

bahut din se janāza kūcha-e-qātil meñ rakkhā hai

KHuda jaane meri miTTi Thikane kab lage 'muztar'

bahut din se janaza kucha-e-qatil mein rakkha hai

judā.ī meñ na aanā thā na aa.ī

mujhe zālim qazā ne maar Daalā

judāī meñ na aanā thā na aaī

mujhe zālim qazā ne mar Dalā

is se pahle aañkh putlī kyā auqāt thī

tere nuqta dete kyā kyā nazar aane lagā

is se pahle aankh ki putli ki kya auqat thi

tere nuqta dete hi kya kya nazar aane laga

ḳhudā jaane mirī miTTī Thikāne kab lage 'muztar'

bahut din se janāza kūcha-e-qātil meñ rakkhā hai

KHuda jaane meri miTTi Thikane kab lage 'muztar'

bahut din se janaza kucha-e-qatil mein rakkha hai

vahāñ to hazrat-e-zāhid tumheñ achchhoñ se nafrat thī

yahāñ jannat meñ ab kis muñh se tum lene ko huur aa.e

wahan to hazrat-e-zahid tumhein achchhon se nafrat thi

yahan jannat mein ab kis munh se tum lene ko hur aae

butoñ ke liye sab jale aag meñ

jahannam pe jannat fidā ho ga.ī

butoñ ke liye sab jale aag meñ

jahannam pe jannat fidā ho gaī

bigāḌ qismat kyā batā.ūñ jo saath mere lagī huī hai

kahīñ kahīñ se kaTī huī hai kahīñ kahīñ se miTī huī hai

bigaD qismat ka kya bataun jo sath mere lagi hui hai

kahin kahin se kaTi hui hai kahin kahin se miTi hui hai

qanā.at dūsre ke āsare naam hai 'muztar'

ḳhudā hai jo koī hadd-e-tavakkul se nikal aayā

qanaat dusre ke aasare ka nam hai 'muztar'

KHuda hai jo koi hadd-e-tawakkul se nikal aaya

dekh kar ka.abe ko ḳhālī maiñ ye kah kar aa gayā

aise ghar ko kyā karūñgā jis ke andar nahīñ

dekh kar kabe ko KHali main ye kah kar aa gaya

aise ghar ko kya karunga jis ke andar tu nahin

hasīnoñ ne qismat meñ islāh

nasīboñ likkhā dharā rah gayā

hasinon ne qismat mein islah di

nasibon ka likkha dhara rah gaya

nahīñ ye kahtā maiñ tujh se qāsid ki un se be-vaqt haal kah de

magar jo pahlū nazar se guzre to us se pahlū-tahī na karnā

nahin ye kahta main tujh se qasid ki un se be-waqt haal kah de

magar jo pahlu nazar se guzre to us se pahlu-tahi na karna

mohabbat meñ judā.ī mazā 'muztar' na jaane duuñ

vo bulbul huuñ ki gul pā.ūñ to pattā darmiyāñ rakkhūñ

mohabbat meñ judāī mazā 'muztar' na jaane duñ

wo bulbul huñ ki gul pāūñ to pattā darmiyāñ rakkhūñ

mujh ko mil jaaye to tadbīr-e-tasallī pūchhūñ

ne jis aañkh se āshiq taḌapnā dekhā

mujh ko mil jaye to tadbir-e-tasalli puchhun

tu ne jis aankh se aashiq ka taDapna dekha

farishte kyuuñ satāte haiñ lahad meñ

ḳhudā mālik hai jo chāhe sazā de

farishte kyun satate hain lahad mein

KHuda malik hai jo chahe saza de

mujhe nāshād kar ke āsmāñ rāhat na pā.egā

mujhe barbād kar ke ḳhaak chhāneī zamīñ barsoñ

mujhe nashad kar ke aasman rahat na paega

mujhe barbaad kar ke KHak chhanei zamin barson

mohabbat ḳhauf-e-rusvā.ī baa.is ban jaatī hai

tarīq-e-ishq meñ apnoñ se pardā ho jaatā hai

mohabbat KHauf-e-ruswai ka bais ban hi jati hai

tariq-e-ishq mein apnon se parda ho hi jata hai

ik raaz hai ai 'muztar' turbat añdherā bhī

aa.ī hai paye mātam ka.abe siyah-poshī

ek raaz hai ai 'muztar' turbat ka andhera bhi

aai hai paye matam kabe ki siyah-poshi

aap aa.eñ to sahī Thokar lagāne ke liye

merī turbat dekh kar aañsū ravāñ ho jā.eñge

aap aaen to sahi Thokar lagane ke liye

meri turbat dekh kar aansu rawan ho jaenge

tark-e-hastī se mirī ḳhāna-badoshī miT ga.ī

lā-makāñ pahuñchā to ghar apnā nazar aane lagā

tark-e-hasti se meri KHana-badoshi miT gai

la-makan pahuncha to ghar apna nazar aane laga

mohabbat meñ sarāpā ārzū-dar-ārzū maiñ huuñ

tamannā dil mirā hai aur mire dil tamannā

mohabbat mein sarapa aarzu-dar-arzu main hun

tamanna dil mera hai aur mere dil ki tamanna tu

ai mohabbat gavāh rahnā ki tere 'muztar' ko vaqt-e-āḳhir

ḳhayāl-e-tark-e-ḳhudī rahā hai to dil meñ yād-e-ḳhudā rahī hai

tu ai mohabbat gawah rahna ki tere 'muztar' ko waqt-e-aKHir

KHayal-e-tark-e-KHudi raha hai to dil mein yaad-e-KHuda rahi hai

tirā tark-e-sitam bhī ik sitam hai ye sitam kaisā

tirī tark-e-jafā bhī ik jafā hai ye jafā kyuuñ hai

tera tark-e-sitam bhi ek sitam hai ye sitam kaisa

teri tark-e-jafa bhi ek jafa hai ye jafa kyun hai

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Recitation

Speak Now