Ashaar of Ehsanullah Khan Bayan
vo ki ik muddat talak jis ko bhalā kahtā rahā
aah ab kis muñh se zikr us kī burā.ī kā karūñ
wo ki ek muddat talak jis ko bhala kahta raha
aah ab kis munh se zikr us ki burai ka karun
hote hī sub.h aah gayā māh-e-chār-dah
sābit huā mujhe ki namak hai adū-e-shīr
hote hi subh aah gaya mah-e-chaar-dah
sabit hua mujhe ki namak hai adu-e-shir
ḳhuub sī tambīh karnā ai judā.ī tū mujhe
gar kisī se phir kabhī qasd āshnā.ī kā karūñ
ḳhub sī tambīh karnā ai judāī tū mujhe
gar kisī se phir kabhī qasd āshnāī kā karūñ
duā kah kar chalā banda salām aa kar karegā phir
ḳhat aave jab talak to bandagī se ḳhuub jaatā hai
dua kah kar chala banda salam aa kar karega phir
KHat aawe jab talak to bandagi se KHub jata hai
aap ko ham ne kho diyā hai 'bayāñ'
aah kis kā surāġh rakhte haiñ
aap ko hum ne kho diya hai 'bayan'
aah kis ka suragh rakhte hain
jā kahe kū-e-yār meñ koī
mar gayā intizār meñ koī
ja kahe ku-e-yar mein koi
mar gaya intizar mein koi
dil hamārā ki ghar ye terā thā
kyuuñ shikast is makān par aa.ī
dil hamara ki ghar ye tera tha
kyun shikast is makan par aai
aur bhī un ne 'bayāñ' zulm kuchh afzūd kiyā
kiyā us shoḳh se tiiñ ishq kā iz.hār abas
aur bhi un ne 'bayan' zulm kuchh afzud kiya
kiya us shoKH se tin ishq ka izhaar abas
hājat-e-sham.a kyā hai turbat par
ham ki dil sā charāġh rakhte haiñ
hajat-e-shama kya hai turbat par
hum ki dil sa charagh rakhte hain
ye aarzū hai ki vo nāma-bar se le kāġhaz
balā se phaaḌ ke phir haath meñ na le kāġhaz
ye aarzu hai ki wo nama-bar se le kaghaz
bala se phaD ke phir hath mein na le kaghaz
shab mirā shor-e-girya sun ke kahā
maiñ to is ġhul meñ so nahīñ saktā
shab mera shor-e-girya sun ke kaha
main to is ghul meñ so nahin sakta
-
Tag : Girya-o-Zari
dil bujhā jaa.e hai aġhyār kī shorish pe mirā
sard kartī hai tirī garmī-e-bāzār mujhe
dil bujha jae hai aghyar ki shorish pe mera
sard karti hai teri garmi-e-bazar mujhe
farhād kis ummīd pe laatā hai jū-e-shīr
vaañ ḳhuun kī havas hai nahīñ ārzū-e-shīr
farhad kis ummid pe lata hai ju-e-shir
wan KHun ki hawas hai nahin aarzu-e-shir
har husn-e-adā hai terī adā hai terī haqīqat kun se judā
āshiq hai tirī sūrat pe ḳhudā ai nūr-e-mohammad sallallāh
har husn-e-ada hai teri ada hai teri haqiqat kun se juda
aashiq hai teri surat pe KHuda ai nur-e-mohammad sallallah
ġhair ke aage dil kī baat 'bayāñ'
aah merī zabān par aa.ī
ghair ke aage dil ki baat 'bayan'
aah meri zaban par aai
tere dāġhoñ kī daulat ai gul-rū
ham bhī siine meñ baaġh rakhte haiñ
tere daghon ki daulat ai gul-ru
hum bhi sine mein bagh rakhte hain
us dudh ka ḳhuda kare kasa hamein nasib
jannat mein panj-tan ki jo bahti hai ju-e-shir
us dudh ka KHuda kare kasa hamein nasib
jannat mein panj-tan ki jo bahti hai ju-e-shir
farhād pe is qadar na thā zulm
majnūñ pe na ye ġhazab jafā thī
farhad pe is qadar na tha zulm
majnun pe na ye ghazab jafa thi
maarā hai 'bayāñ' ko jin ne ai shoḳh
kyā jāniye kaun sī adā thī
mara hai 'bayan' ko jin ne ai shoKH
kya jaaniye kaun si ada thi
maiñ tire Dar se ro nahīñ saktā
gard-e-ġham dil se dho nahīñ saktā
main tere Dar se ro nahin sakta
gard-e-gham dil se dho nahin sakta
kyā mirī aañkh adam biich lagī thī ai charḳh
kyā us ḳhvāb se tū ne mujhe bedār abas
kya meri aankh adam bich lagi thi ai charKH
kya us KHwab se tu ne mujhe bedar abas
vo kaun din hai ki ġhairoñ ko ḳhat nahīñ likhtā
qalam ke ban ko lage aag aur jale kāġhaz
wo kaun din hai ki ghairon ko KHat nahin likhta
qalam ke ban ko lage aag aur jale kaghaz
charāġh-e-gor na sham-e-mazār rakhte haiñ
bas ek ham ye dil-e-dāġhdār rakhte haiñ
charagh-e-gor na sham-e-mazar rakhte hain
bas ek hum ye dil-e-daghdar rakhte hain
juuñ misāl us kī numūdār huī tuuñ hī 'bayāñ'
tapish-e-dil ne kiyā ḳhvāb se bedār mujhe
jun misal us ki numudar hui tun hi 'bayan'
tapish-e-dil ne kiya KHwab se bedar mujhe
jo zamīñ par farāġh rakhte haiñ
āsmāñ par dimāġh rakhte haiñ
jo zamin par faragh rakhte hain
aasman par dimagh rakhte hain
kyā mirī aañkh adam biich lagī thī ai charḳh
kyā us ḳhvāb se tū ne mujhe bedār abas
kya meri aankh adam bich lagi thi ai charKH
kya us KHwab se tu ne mujhe bedar abas
na faqat yaar bin sharāb hai talḳh
aish-o-ārām-o-ḳhurd-o-ḳhvāb hai talḳh
na faqat yar bin sharab hai talKH
aish-o-aram-o-KHurd-o-KHwab hai talKH
Tuk shikāyat kī ab ijāzat ho
nahīñ ruktī zabān par aa.ī
Tuk shikayat ki ab ijazat ho
nahin rukti zaban par aai
qayāmat aa chukī dīdār-e-haq huā sab ko
ham ab talak bhī tirā intizār rakhte haiñ
qayamat aa chuki didar-e-haq hua sab ko
hum ab talak bhi tera intizar rakhte hain
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere